Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Music - Halal ya Haram?


                          *Music - Halal ya Haram?*




This Video explain different types of Music and Islamic interpretation on Halal and haram Music. It gives example of Hala and haram Music. It also dicusses negative impact of Bollywood Music on indian Youth today. Script: Music ki 2 qismen hain: music halal bhi hosakti hai aur haram bhi Music Haram kab hoti hai ? Jab us men lahv aur muzil chizen hon Lahv: yaani har wo kaam jo hame Allah se gafil kar de aur har music jo hame allah se gafil kar de wo haram hai. Muzil: yani wo kaam jo Gumrah karne wala ho. Har wo Music haram hai jo insan ko gumrah kar de. Jaisa ki quran majid ki is ayat men ishara hua hai: Ayat: ÙˆَÙ…ِÙ†َ النَّاسِ Ù…َÙ† ÙŠَØ´ْتَرِÙŠ Ù„َÙ‡ْÙˆَ الْØ­َدِيثِ Ù„ِÙŠُضِÙ„َّ عَÙ† سَبِيلِ اللَّـهِ بِغَÙŠْرِ عِÙ„ْÙ…ٍ (luqman:6) Logon men aise insaan bhi hain jo behooda baton ko kharidte hain taki iskezariye baghair soche samjhe logon ko allah ke raste se gumrah karden… Haram Music ke kuch nishaniya - Wo Music jo insan ko Wajd(madhosh) mein leke aaye (yani uski body mein movement ho) - Ya Music aisi ho jo uski shehwat aur Sexual Desire ko bhadkaye - Ya music Burai ki jagah par istemal hoti ho jaise Disco ya haram mahfilo mein istemal hoti ho jaise dance wagahra ke liye - Ya Gaane ke Alfaz bure ho aur gumarah karne wale ho - Ya music ki Melody ya tune aisi ho jisse insan Allah se gafil ho jaye - Ya Insaan ko uski Manzilat se girata ho jaise music videos men item Girl ka istemal karna ya uarat ko object ki tarah istamal karna wagahra - - Haram music ke silsile men: - AYATULLAH SISTANI FARMATE HAI - LEHV O LAEB AUR AYYASHI KI MEHFILON SE TALLUQ RAKHNE WALI MUSIC KA SUNNA HARAM HAI. - Lahv w laeb aur ayyashi ki mehfilon se talluq rakhne wali music ka sunna haram hai {sistani.org/urdu/ qa} - - - AYATULLAH KHAMENEI FARMATE HAI - HAR WO MUSIC JO URF (YANI AAM DEENDAAR SAMAJ) MEN LEHV O LAEB HO AUR JO RAHE KHUDA SE GUMRAH KARNE WALI AUR AYYASHI KI MEHFILON SE TALLUQ RAKHNE WALI HO, WO HARAM HAI. AUR IS MEN KOI FARQ NAHI HAI K WO CLASSICAL MUSIC HO YA NON CLASSICAL http://farsi.khamenei.ir/treatise-content?id=99#1128 Kuch music halal hain jaise: - Islamic nasheed mein istemal hone wali - Islamic Movies jaise Imam Ali wagahra - Revolutionary music - Military parade mein istemal hone wali music waghera - Natural sounds jaise chidyon ka chcehkna ya jharne ka girna - Note: ( ) Aytullah khamei farmate hain: MZHABI TARANE AQLI AUR MUFEED CLUTCRAL PROGRAMS KO BANANE KE LIYE MUSICAL INSTRUMENT KA ISTEMAAL JAYEZ HAI. AGAR WO GHAIR LEHVI HO, IS SHART KE SATH KE USKI WAJAH SE DUSRI BURAI PAIDA NA HO. HTTP://FARSI.KHAMENEI.IR/TREATISE-CONTENT?ID=99&PID=99&TID=-1 Aaj music ke zariye se india men sexual violence, moilstression, rape, eve teasing ke culture ko badhawa diya jaraha hai. Kya ek aurat ke liye is tarah ke words ka istemaal karna uski shaan w manzilat ke khilaf nahi hai Ye sirf entertainment nahi hai balki ye hamare samaj ko khokhla karne wali bimari hai aayen is se bachen. aur aise halal entertainment ko istemal Karen jo aap ko allah aur uske rasool se nazdik kare. Music ke silsile men zyada maloomat hasil karne ke liye description men di gayi link par click kar ke aur tafseel jan sakte hain Music and its Effects: https://www.al-islam.org/music-and-its-effects-a-h-sheriff The Status of Music in Islam: https://www.al-islam.org/articles/status-music-islam-shaykh-saleem-bhimji


Comments

Visitor's