Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Namaaz Mayyat ke Ehkaam 583.Har musalmaan ki mayyat par aur aise bachche ki mayyat par jo islaam ke hukm mein ho aur poore chhe saat maah ka ho chuka ho namaaz padhnaa waajib hai. 584.Ek aise bachche ki mayyat par jo chhe saat saal ka nah huaa ho Laikin namaaz ki samajh bhujh rakhtaa ho to isteyat waajib ki bina par namaaz padhnaa zaruri hai aur agar namaaz ko nah jaantaa ho to rajaa’ ki niyyat se namaaz padhn mein koi harj nahin aur woh bachchaa jo murdah paida huaa ho oos ki mayyat par namaaz padhnaa mustahab nahin hai. 585.Zaruri hai keh mayyat ki namaaz se ghusl dene, hunoot karne aur kafan pehnaane ke baa’d padhi jaaye aur agar in umoor se pahle ya in ke dauraan padhi jaaye to aisaa karna khawoh bhool chuk ya mas’le se laai’lmi ki bina par hi kioon nah ho kafi nahin hai. 586.Jo shakhs mayyat ki namaaz padhnaa chaahe oos ke liye zaruri nahin keh oos ne wazu, ghusl ya tayyamum kiya ho aur ooska badan aur lebaas paak hon aur agar ooska lebaas ghasbi ho tab bhi koi harj nahin. Agarche bahtar yeh hai keh in tamaam cheezon ka lehaaz rakhe jo dusri namaazon mein laazmi hain. 587.Jo shakhs namaaz mayyat padh rahaa ho zaruri hai keh rubaqiblah ho aur yeh bhi waajib hai keh mayyat namaaz padhne waale ke saamne pusht ke bal yoon letaya jaaye keh mayyat ka sar namaaz padhne waale ke daa’ein taraf ho aur paa’on baa’ein taraf hon. 588.Zaruri hai keh namaaz padhne ki jagah mayyat ke muqaam se oonchchi ya neechchinah ho alikin m’amooli pasti ya bulandi mein koi harj nahin aur Ehteyaat-e-mustahab yeh hai keh namaaz mayyat padhne ki jagah ghasbi nah ho. 589.Zaruri hai keh namaaz padhne walaa mayyat se door nah ho Laikin jo shakhs namaaz mayyat ya jam’aat padh rahaa ho agar woh mayyat se door ho jabkeh safein baham mutassil hon to koi harj nahin. 590.Zaruri hai keh namaazpadhne walaa mayyat ke saamne khadhaa ho Laikin jam’aat ki surat mein oon logon ki namaaz mein jo mayyat ke saamne nah hon koi ishkal nahin hai. 591.Zaruri hai keh mayyat aur namaaz padhne waale ke darmiaan pardhah, deewaar ya aisi koi cheez haa’el nah ho Laikin agar mayyat taaboot mein ya kisi aur cheez mein rakhi ho to koi harj nahin. 592.Namaaz padhte vaqt zaruri hai keh mayyat ki sharamghaah dhhaki hu’ee ho aur agar Oose kafan pehnaanaa mumkin nah ho to zaruri hai keh oos ki sharamghah ko khawaah lakdhi ya aisi kisi aur cheez se hi dhhanp dein. 593.Zaruri hai keh namaaz mayyat khadhe ho kar aur qurbat ki nayyat se padhi jaaye aur niyyat karte vaqt mayyat ko ma’een kar liya jaaye maslan niyyat kar li jaaye keh mein is mayyat par “ Qurbatan Illallah” namaaz padh rahaa hoon. Aur Ehteyaat-e-waajib ki bina par zaruri hai keh yaumiah namaazon mein haalat qayam mein jo isttaqraar zaruri hai ooska khayal rakhaa jaaye. 594.Agar khade hokar namaaz mayyat padhne walaa koi shakhs nah ho to baith kar namaaz padhi jaa sakti hai. 595.Agar marne waale ne wasiyat ki ho keh koi shakhs oos ki namaaz padha’e to oos ke liye wali se ijaazat lenaa zaruri nahin hai, agar che behtar hai. 596.Baa’z fuqha ke nazdeek mayyat par kayee daf’aa namaaz padhnaa makruh hai. Laikin yeh baat saabit nahin hai agar mayyat kisi saahebe i’lm wa taqwaa ki ho to baghair kisi ishkal ke makruh nahin hai. 597.Agar mayyat ko jaan bhoojh kar ya bhool chook ki wajah se ya kisi ‘azar ki bina par baghair namaaz padhe daf’an kar diya jaaye ya daf’an kar den eke b’ad pataa chale keh jo namaaz is par padhi jaa chuki hai woh baatil hai to mayyat par namaaz padhne ke liye ooski qabr kholnaa jaayez nahin Laikin jab tak ooska badan paas paas nah ho jaaye aur jin sharaa’et ka namaaz mayyat ke silsile mein zikr ‘aa chuka hai oon ke saath raja’ ki nayyat se oos ki qabr par namaaz padhne mein koi harj nahin hai. Namaaz Mayyat Ka Tariqa 598.Mayyat ki namaaz mein paanch takbeerein hain aur agar namaaz padhne walaa shakhs mandarjah zeil tarteeb ke saath paanch takbeerin kahe to kafi hai. Niyyat karne aur pahli takbeer ke b’ad kahe : “Ash hadu an la ilaha illal lah wa ashhadu anna Muhammadan Rasulullah”. Dusri takbeer ke b’ad kahe : “Allahumma salli 'ala Muhammadin wa 'ali Muhammad”. Teesri takbeer ke b’ad kahe : “Allahummaghfir lil mu'minina wal mu'minat”. Chauthi takbeer ke b’ad kahe : “Allahummaghfir li hazal mayyit”. Aur mayyat aurat ho to kahe : “All hummaghfir li hazihil mayyit”. Behtar yeh hai keh pahli takbeer ke b’ad kahe : “Ash hadu an la ilaha illallahu wohdahu la sharika lah. Wa Ashhadu anna Muhammadan 'abduhu wa Rasuluh, arsalahu bil haqqi bashiran wa naziran bayna yada yis sa'ah”. Aur dusri takbeer ke b’ad kahe : “Allahumma salli 'ala Muhammadin wa Ali Muhammad wa barik 'ala Muhammadin wa Ali Muhammad warham Muhammadan wa Ala Muhammadin ka afzali ma sallayta wa barakta wa tarah hamta 'ala Ibrahima wa Ali Ibrahima innaka Hamidum Majid wa salli 'ala jami'il ambiya'iwal-mursalina wash- shuhada'i was-siddiqina wa jami'i 'ibadilla his-salihin”. Aur teesri takbeer ke b’ad kahe : “Allahummaghfir lil mu'minina wal mu'minati wal muslimina wal muslimat, al ahya'i minhum wal amwat tabi'baynana wa baynahum bil khayrati innaka mujibud-da'wat innak 'ala kulli shay'in Qadeer” Aur agar mayyat mard ho to chauthi takbeer ke b’ad kahe : “Allahumma inna haza 'abduka wabnu 'abdika wabnu amatika nazala bika wa anta khayru manzulin bihi Alla humma inna la na'lamu minhu illa khayra wa anta a'alamu bihi minna. Alla humma in kana mohsinan fa zid fi ihsanihi wa in kana musi'an fatajawaz anhu waghfir lahu. Alla hummaj'alhu 'indaka fi a'la'illiyyin wakhluf 'ala ahlihi fil ghabirin warhamhu bi- rahmatika ya ar hamar Rahimin”. B’ad paanchwi takbeer kahe. Laikin agar mayyat aurat ho to chauthi takbeer ke b’ad kahe : “Alla humma inna hazihi 'amatuka wabnatu 'abdika wabnatu amatika nazalat bika wa anta khayra manzulin bihi Alla humma inna la na'lamu minha illa khayra wa anta a'lamu biha minna. Alla humma in kanat mohsinatan fa zid fi ihsaniha wa in kanat musi'atan fatajawaz 'anha waghfir laha. Alla hummaj'al ha 'indaka fi a'la 'illiyin wakhluf 'ala ahliha fil ghabirin warhamha bi-rahmatika ya ar hamar Rahimin”. 599.Zaruri hai keh takbeerein aur dua’ein tasalsal ke saath yake b’ad digare is tarah padhi jaayein keh namaaz apni shakal nah kho de. 600.Jo shakhs mayyat ki namaaz ya jam’at padh rahaa ho khawoh woh muqatdi ho zaruri hai keh ooski takbeerein aur dua’ein bhi padhe.

Namaaz Mayyat ke Ehkaam

1. Har musalmaan ki mayyat par aur aise bachche ki mayyat par jo islaam ke hukm mein ho aur poore chhe saat maah ka ho chuka ho namaaz padhnaa waajib hai.

2. Ek aise bachche ki mayyat par jo chhe saat saal ka nah huaa ho Laikin namaaz ki samajh bhujh rakhtaa ho to isteyat waajib ki bina par namaaz padhnaa zaruri hai aur agar namaaz ko nah jaantaa ho to rajaa’ ki niyyat se namaaz padhn mein koi harj nahin aur woh bachchaa jo murdah paida huaa ho oos ki mayyat par namaaz padhnaa mustahab nahin hai.
3. Zaruri hai keh mayyat ki namaaz se ghusl dene, hunoot karne aur kafan pehnaane ke baa’d padhi jaaye aur agar in umoor se pahle ya in ke dauraan padhi jaaye to aisaa karna khawoh bhool chuk ya mas’le se laai’lmi ki bina par hi kioon nah ho kafi nahin hai.
4. Jo shakhs mayyat ki namaaz padhnaa chaahe oos ke liye zaruri nahin keh oos ne wazu, ghusl ya tayyamum kiya ho aur ooska badan aur lebaas paak hon aur agar ooska lebaas ghasbi ho tab bhi koi harj nahin. Agarche bahtar yeh hai keh in tamaam cheezon ka lehaaz rakhe jo dusri namaazon mein laazmi hain.
5. Jo shakhs namaaz mayyat padh rahaa ho zaruri hai keh rubaqiblah ho aur yeh bhi waajib hai keh mayyat namaaz padhne waale ke saamne pusht ke bal yoon letaya jaaye keh mayyat ka sar namaaz padhne waale ke daa’ein taraf ho aur paa’on baa’ein taraf hon.
6. Zaruri hai keh namaaz padhne ki jagah mayyat ke muqaam se oonchchi ya neechchinah ho alikin m’amooli pasti ya bulandi mein koi harj nahin aur Ehteyaat-e-mustahab yeh hai keh namaaz mayyat padhne ki jagah ghasbi nah ho.
7. Zaruri hai keh namaaz padhne walaa mayyat se door nah ho Laikin jo shakhs namaaz mayyat ya jam’aat padh rahaa ho agar woh mayyat se door ho jabkeh safein baham mutassil hon to koi harj nahin.
8. Zaruri hai keh namaazpadhne walaa mayyat ke saamne khadhaa ho Laikin jam’aat ki surat mein oon logon ki namaaz mein jo mayyat ke saamne nah hon koi ishkal nahin hai.
9. Zaruri hai keh mayyat aur namaaz padhne waale ke darmiaan pardhah, deewaar ya aisi koi cheez haa’el nah ho Laikin agar mayyat taaboot mein ya kisi aur cheez mein rakhi ho to koi harj nahin.
10. Namaaz padhte vaqt zaruri hai keh mayyat ki sharamghaah dhhaki hu’ee ho aur agar Oose kafan pehnaanaa mumkin nah ho to zaruri hai keh oos ki sharamghah ko khawaah lakdhi ya aisi kisi aur cheez se hi dhhanp dein.
11. Zaruri hai keh namaaz mayyat khadhe ho kar aur qurbat ki nayyat se padhi jaaye aur niyyat karte vaqt mayyat ko ma’een kar liya jaaye maslan niyyat kar li jaaye keh mein is mayyat par     “ Qurbatan Illallah” namaaz padh rahaa hoon. Aur Ehteyaat-e-waajib ki bina par zaruri hai keh yaumiah namaazon mein haalat qayam mein jo isttaqraar zaruri hai ooska khayal rakhaa jaaye.
12. Agar khade hokar namaaz mayyat padhne walaa koi shakhs nah ho to baith kar namaaz padhi jaa sakti hai.
13. Agar marne waale ne wasiyat ki ho keh koi shakhs oos ki namaaz padha’e to oos ke liye wali se ijaazat lenaa zaruri nahin hai, agar che behtar hai.
14. Baa’z fuqha ke nazdeek mayyat par kayee daf’aa namaaz padhnaa makruh hai. Laikin yeh baat saabit nahin hai agar mayyat kisi saahebe i’lm wa taqwaa ki ho to baghair kisi ishkal ke makruh nahin hai.
15. Agar mayyat ko jaan bhoojh kar ya bhool chook ki wajah se ya kisi ‘azar ki bina par baghair namaaz padhe daf’an kar diya jaaye ya daf’an kar den eke b’ad pataa chale keh jo namaaz is par padhi jaa chuki hai woh baatil hai to mayyat par namaaz padhne ke liye ooski qabr kholnaa jaayez nahin Laikin jab tak ooska badan paas paas nah ho jaaye aur jin sharaa’et ka namaaz mayyat ke silsile mein zikr ‘aa chuka hai oon ke saath raja’ ki nayyat se oos ki qabr par namaaz padhne mein koi harj nahin hai.

Namaaz Mayyat Ka Tariqa

16. Mayyat ki namaaz mein paanch takbeerein hain aur agar namaaz padhne walaa shakhs mandarjah zeil tarteeb ke saath paanch takbeerin kahe to kafi hai.
Niyyat karne aur pahli takbeer ke b’ad kahe : “Ash hadu an la ilaha illal lah wa ashhadu anna Muhammadan Rasulullah”.

Dusri takbeer ke b’ad kahe : “Allahumma salli 'ala Muhammadin wa 'ali Muhammad”.
Teesri takbeer ke b’ad kahe : “Allahummaghfir lil mu'minina wal mu'minat”.
Chauthi takbeer ke b’ad kahe : “Allahummaghfir li hazal mayyit”.
Aur mayyat aurat ho to kahe : “All hummaghfir li hazihil mayyit”.
Behtar yeh hai keh pahli takbeer ke b’ad kahe : “Ash hadu an la ilaha illallahu wohdahu la sharika lah. Wa Ashhadu anna Muhammadan 'abduhu wa Rasuluh, arsalahu bil haqqi bashiran wa naziran bayna yada yis sa'ah”.

Aur dusri takbeer ke b’ad kahe : “Allahumma salli 'ala Muhammadin wa Ali Muhammad wa barik 'ala Muhammadin wa Ali Muhammad warham Muhammadan wa Ala Muhammadin ka afzali ma sallayta wa barakta wa tarah hamta 'ala Ibrahima wa Ali Ibrahima innaka Hamidum Majid wa salli 'ala jami'il ambiya'iwal-mursalina wash- shuhada'i was-siddiqina wa jami'i 'ibadilla his-salihin”.

Aur teesri takbeer ke b’ad kahe : “Allahummaghfir lil mu'minina wal mu'minati wal muslimina wal muslimat, al ahya'i minhum wal amwat tabi'baynana wa baynahum bil khayrati innaka mujibud-da'wat innak 'ala kulli shay'in Qadeer”
Aur agar mayyat mard ho to chauthi takbeer ke b’ad kahe : “Allahumma inna haza 'abduka wabnu 'abdika wabnu amatika nazala bika wa anta khayru manzulin bihi Alla humma inna la na'lamu minhu illa khayra wa anta a'alamu bihi minna. Alla humma in kana mohsinan fa zid fi ihsanihi wa in kana musi'an fatajawaz anhu waghfir lahu. Alla hummaj'alhu 'indaka fi a'la'illiyyin wakhluf 'ala ahlihi fil ghabirin warhamhu bi- rahmatika ya ar hamar Rahimin”.
B’ad paanchwi takbeer kahe. Laikin agar mayyat aurat ho to chauthi takbeer ke b’ad kahe : “Alla humma inna hazihi 'amatuka wabnatu 'abdika wabnatu amatika nazalat bika wa anta khayra manzulin bihi Alla humma inna la na'lamu minha illa khayra wa anta a'lamu biha minna. Alla humma in kanat mohsinatan fa zid fi ihsaniha wa in kanat musi'atan fatajawaz 'anha waghfir laha. Alla hummaj'al ha 'indaka fi a'la 'illiyin wakhluf 'ala ahliha fil ghabirin warhamha bi-rahmatika ya ar hamar Rahimin”.
17. Zaruri hai keh takbeerein aur dua’ein tasalsal ke saath yake b’ad digare is tarah padhi jaayein keh namaaz apni shakal nah kho de.
18. Jo shakhs mayyat ki namaaz ya jam’at padh rahaa ho khawoh woh muqatdi ho zaruri hai keh ooski takbeerein aur dua’ein bhi padhe.

Comments

Visitor's