1. Chand cheezein namaaz mayyat mein mustahab hain:
1) Namaaz mayyat padhne waale ne wazu, ghusl ya tayyamum kiya ho auristeyat is mein hai eh tayyamum oos vaqt kare jab wazu aur ghusl karna mumkin nah ho ya Oose khadshah ho keh agar wazu ya ghusl karegaa to namaaz mayyat mein shareek nah ho sakegaa.
2) Agar mayyat mard ho to Imam ya jo shakhs akelaa mayyat par namaaz padhaa rahaa ho mayyat ke badan ke darmiyani hisse ke saamne khadhaa ho aur agar mayyat aurat ho to Oose ke seene ke saamne khadhaa ho.
3) Namaaz nange paa’on padhi jaaye.
4) Har takbeer mein haaton ko buland kiya jaaye.
5) Namaazi aur mayyat ke darmiyan itnaa kam faaslah ho keh agar hawa namazi ke lebaas ko harkat de to woh janaze ko ja chhue.
6) Namaz mayyat jama’at ke saath padhi jaae.
7) Imam takbeerein aur dua’ein buland ‘awaaz mein padhe aur muqatdi ‘ahestah padhein.
8) Namaaz jam’aat mein muqatdi khawoh ek shakhs hi kioon nah ho Imam ke pechche khadhaa ho.
9) Namaaz oadhne walaa mayyat aur maumeneen ke liye kasrat se du’a kare.
10) Baa jam’at namaaz se pahle teen martabah “ Oos salaata “ kahe.
11) Namaaz aisi jagah padhi jaaye jahan namaaz mayyat ke liye log zayadahtar jaa;ein.
12) Agar haa’ez namaaz mayyat jam’at ke saath padhe to akeli khadhi ho aur namaazion ki saf mein nah khadhi ho.
2. Namaaz mayyat massjidon mein padhnaa makruh hai, Laikin massjid ul haraam mein padhnaa makruh nahin hai.
Comments