1. Agar wuzu ke a’zaa’ mein se kisi par zakhm ya phoraa ho ya haddee tootee hu’ee ho aur is ka moonh khoolaa ho aur paani is ke liye naa ho to Oosi tarah wuzu karna zaruri hai jaise a‘am taur par kiya jaataa hai.
2. Agar kisi shakhs ke chehre aur haathon par zakhm ya phoraa ho, ya in mein se kisi ki (chehre ya haathon) haddee tootee ho iska moonh khoolaa ho aur is par paani daalnaa nuqsaandeh ho to ise zakhm ya phore ke a’as paas ka hissah is tarah uupar se neeche dhonaa chaahiye jaisaa wuzu mein bataya gaya hai aur behtar yeh hai keh agar is par tar haath kheenchnaa nuqsaandeh naa ho to haath is par khinchne aur is ke b’ad paak kapde is par daal de aur geelaa haath is kapde par bhi khinche. Albattah agar haddee tootee hu’ee ho to tayyamum karna laazim hai.
3. Agar zakhm ya phoraa ya tootee hu’ee haddee kisi shakhs ke sar ke agle hisse ya paa’on par ho aur ooska moonh khoolaa ho aur woh oos par massah naa kar saktaa ho kioon naa keh zakhm massah ki pooree jagah par phailaa huaa ho ya massah ki jagah ka jo hissah sahee waa salim ho oos par massah karna bhi ooski qudrat se baahar ho to is surat mein zaruri hai keh tayyamum kare aur Ehteyaat-e-mustahab ki bina par wuzu bhi kare aur paak kapdaa zakhm par rakhe aur wuzu ke paani ki taree se jo haathon par lagee ho kapde par massah kare.
4. Agar zakhm ya phoraa ya tootee hu’ee haddee ka moonh kisi cheez se boond ho aur ooska kholnaa baghair takleef ke mumkin ho aur paani bhi oos ke liye naa ho to Oose khol kar wuzu karna zaruri hai khawaah zakhm waghairah chehre aur haathon par ho ya sar ke agle hisse aur paa’on ke uupar waale hisse par ho.
5. Agar kisi shakhs ka zakhm ya phoraa ya tootee hu’ee haddee jo kisi cheez se boondhee hu’ee ho is ke chehre ya haathon par ho aur ooska kholnaa aur oos par paani daalnaa mazrur ho to zaruri hai keh a’as paas ke jeetne hisse ko dhonaa mumkin ho Oose dho’e aur Ehteyaat-e- waajib ki bina par jabeerah par massah kare.
6. Agar zakhm ka moonh naa khul saktaa ho aur khud zakhm aur jo cheez is par lagaa’ee gayee ho paak ho aur zakhm tak paani pohoonchnaa mumkin ho zaruri hai ke paani ko zakhm par uupar se neeche tak pohoonchaa’eaur agar zakhm ya is ke uupar lagaa’ee gayee cheez najis ho aur ooska dhonaa aur zakhm ke moonh tak paani pohoonchaanaa mumkin ho to zaruri hai keh Oose dho’e aur wuzu karte vaqt paani zakhm tak pohoonchaa’e aur agar paani zakhm ke liye mazrur to naa ho Laikin zakhm ko dhonaa mumkin naa ho ya ise kholaa zari’aa masshaqqat ka baa’s ho to zaruri hai keh tayyamum kare.
7. Agar jabeerah a’zaa’e wuzu mein se kisi ek ya poore hisse par phailaa huaa ho to jabeerah wuzu kafee hai Laikin agar jabirah tamaam a’zaa’e wuzu ya zayadah tar a’zaa’ par phailaa huaa ho to Ehteyaat ki bina par tayyamum karna zaruri hai aur jabeerah wuzu bhi kare.
8. Yeh zaruri nahin keh jabeerah oon cheezon mein se ho jin ke saath namaaz padhnaa durust hai balkeh agar woh zakhm ya oon haiwaanaat ke ajzaa se bani ho jin ka gost khaanaa jaayez nahin to in par bhi massah karna jaayez hai.
9. Jis shakhs ki haatheleeon ya angoolion par jabeerah ho aur wuzu karte vaqt oos ne tar haath oos par khinchaa ho to woh sar aur paa’on ka massah Oosi taree se kare.
10. Agar kisi shakhs ke paa’on ke uupar waale poore hiss par jabeerah ho Laikin kuchh hissah angoolion ki taraf se aur kuchh hissah paa’on ke uupar waale hisse ki taraf se khoolaa ho to jo jaghein khoolee hain wohaan paa’on ke uupar waale hisse par aur jin jagahon par jabeerah hai wohaan jabeerah par massah karna zaruri hai.
11. Agar chehre ya haathon par kaee jabeere hon to in ka darmiyani hissah dhonaa zaruri hai aur agar sar ya paa’on ke uupar waale hisse par jabeere hon to in ke darmiyani hisse ka massah karna zaroori hai aur jahaan jabeere hon wohaan jabeere ke baare mein Ehkaam par a‘amal karna zaroori hai.
12. Agar jabeerah zakhm ke ‘as paas ke hisson ko m’amool se zayadah ghere hu’e ho aur is ko hatanaa baghair takleef ke mumkin naa ho to zaruri hai keh tayyamum kare bajazaa is ke
jabeerah tayyamum ki jagahon par ho kioon naa keh is surat mein zaruri hai keh wuzu aur tayyamum dono kare aur dono suraton mein agar jabeerah ka hatanaa baghair takleef ke mumkin ho to zaruree hai keh ise hataa de. As agar zakhm chehre ya haathon par ho to is ke aas paas ki jagahon ko dhone aur agar sar ya paa’on ke uupar waale hisse par ho to is ke aas paas ki jagahon ka massah kare aur zakhm ki jagah ke liye jabeerah ke Ehkaam par a‘amal kare.
13. Agar wuzu ke a’zaa’ par zakhm naa ho ya in ki haddee tootee hu’ee naa ho Laikin kisi aur wajah se paani in ke liye mazrur ho to tayyamum karna zaruri hai.
14. Agar wuzu ke a’zaa’ ki rug se fisad khulwaane ke tareeqe se khoon nikalaa gaya ho aur Oose dhonaa mumkin ho to tayyamum karna laazim hai. Laikin agar paani is ke liye mazrur ho to jabeeraah ke Ehkaam par a‘amal karna zaruri hai.
15. Agar wuzu ya ghusl ki jagah par koi aisi cheez chipak gayee ho jis ka utaarnaa mumkin naa ho ya ise utaarne ki takleef naqaabile bardaast ho mut’alaqah shakhs ka fareezaa tayyamum hai. Laikin chipki hu’ee chezz tayyamum ke maqaamaat par ho to is surat mein zaruri hai keh wuzu aur tayyamum dono kare aur agar chipki hu’ee cheez dawaa ho to woh jabeerah ke hukm mein ‘atee hai.
16. Ghusl mayyat ke a’lawa tamaam ghuslon mein jabeerah ghusl jabeerah wuzu ki tarah hai Laikin Ehteyaat-e-laazim ki bina par yeh zaruri hai keh ghusl ko tarteebee tareeqe se anjaam diya jaaye aur agar badan par zakhm ya phoraa ho to mukallif ko ghusl ya tayyamum ka ikhteyar hai. Agar woh ghusl ko ikhteyar kartaa hai aur zakhm ya phore par jabeerah naa ho to Ehteyaat-e- mustahab yeh hai keh zakhm ya phore par paak kapdaa rakhe aur is kapde ke uupar massah kare. Agar badan ka koi hissah tootaa hu’aa ho to zaruri hai keh ghusl kare aur Ehteyaatan jabeerah ke uupar bhi massah kare aur agar jabeerah uupar massah karna mumkin naa ho ya jo jagah tootee hu’ee hai woh khoolee ho to tayyamum karna zaruri hai.
17. Jis shakhs ka fareezaa tayyamum ho agar ooski tayyamum ki b’az jagahon par zakhm aa tayyamum ho agar ooski tayyamum ki b’az jagahon par zakhm ya phoraa ho ya haddee tootee hu’ee ho to zaruri hai keh woh jabeerah wuzu ke Ehkaam ke mutaabiq jabeerah tayyamum kare.
18. Jis shakhs ko jabeerah wuzu ya jabeerah ghusl karke namaaz padhnaa zaruri ho agar Oose i’lm ho keh namaaz ke ‘akhir vaqt tak ooska ‘azar door nahin hoga to awwal vaqt mein namaaz padh saktaa hai Laikin agar Oose umeed ho ke ‘akhir vaqt tak ooska azar door ho jaayegaa to ooske liye behtar hai eh intezaar kare aur agar ooska’zar door baa ho to ‘akhir vaqt mein jabeerah wuzu ya jabeerah ghusl ke saath namaaz adaa kare Laikin agar awwal vaqt mein namaaz padh le aur ‘akhir vaqt tak ooska ‘zar door ho jaaye to Ehteyaat-e-mustahab yeh hai keh wuzu ya ghusl kare aur dobaarah namaaz padhe.
19. Agar kisi shakhs ne ‘ankh ki kisi beemaaree ki wajah se palkon ke baalon ko chipka kar rakhaa ho to zaruri hai keh tayyamum kare.
20. Agar kisi shakhs ko yeh i’lm naa ho ke haya ooska fareezaa tayyamum hai ya jabeerah wuzu to Ehteyaat-e-waajib ki bina par Oose tayyamum aur jabeerah wuzu dono bajaa laane chaahiye.
21. Jo namaazein kisi insaan ne jabeerah wuzu se padhee hon woh sahee hain aur woh Oosi wuzu ke saath ‘aendah ki namaazein bhi padh saktaa hai.
Comments