Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Janabat ke Ehkaam


1. Do cheezon se insaan majnub ho jaataa hai ek jam’a aur dusra manee ke khaarij hone se, khawoh woh neend ki haalat mein nikle ya jaagte mein, kam ho ya zayadah, shahoowat ke saath nikle ya baghair shahuwat ke aur ooska nikalnaa ikhteyar mein ho ya naa ho.
2. Agar kisi shakhs ke badan se koi ratoobat khaarij ho aur woh yeh naa jaantaa ho keh manee hai ya peshaab ya koi aur cheez, agar woh ratoobat shahuwat ke saath aur uchhal kar nikalee ho aur oos ke nikalne ke b’ad badan soosat ho gaya ho to woh ratoobat manee ka hukm rakhtee hai. Laikin agar in teen ;alaamaat mein se saaree ki saaree ya kuchh maujood naa hon to woh  ratoobat manee ke hukm mein ‘a’engee. Laikin agar insaan beemaar ho to phir yeh zaruree nahin keh woh ratoobat uchhal kar nikalee ho aur iske nikalne ke vaqt badan soosat ho jaaye balkeh agar sirf shahuwat ke saath nikale to woh ratoobat manee ke hukm mein hogee. Jo ratoobat chher chhaar ya shahuwat angez tasawwaruraat ke vaqt insaan apni sharamgah mein mahsoos kartaa hai woh paak , isse ghusl bhi waajib nahin hota naa hee yeh wuzu ko baatil kartee hai. Han ! woh ratoobat jo aurat shahoowat ke saath khaarij hotee hai agar is hud tak ho keh Oose anjaal kahaa jaa sake aur lebaas ko a’loodah kar de, jo a‘am taur par oos vaqt nikaltee hai jab aurat jinsee shahoowat tak pohoonch jaaye, to yeh najis bhi hai aur aurat majnoob bhi ho jaati hai.
3. Agar kisi aise shakhs ke makharj peshaab se jo beemaar naa ho koi aisaa paani khaarij ho jis mein in teen a’laamat mein se jinka zikr uupar waale mass’ale mein kiya gaya haiek ‘alaamat maujood ho aur Oose yeh i’lm naa ho keh baaqee a’laamat bhi wuzu ko kafee samajhne aur agar wuzu nahi kiya thaa to sirf wuzu karna kafee hai aur oos par ghusl karna laazim nahin.
4. Manee khaarij hone ke b’ad insaan ke liye peshaab karna mustahab hai aur agar peshaab naa kare aur ghusl ke b’ad oos ke khaarij peshaab se ratoobat khaarij ho jis ke baare mein woh naa jaantaa ho keh manee hai ya koi aur ratoobat to woh ratoobat manee ka hukm rakhtee hai.
5. Agar koi shakhs jam’a kare aur ‘azoo tanaasil supaaree ki miqdaar tak ya oos se zayadah aurat ki farj mein daakhil ho jaaye to khswaah yeh dhakhool farj mein ho ya dabar mein aur khawaah woh baaligh hon ya naabaaligh aur khawaah manee khaarij ho ya naa ho dono janoob ho jaate hain.
6. Agar kisi ko shak ho keh a‘zoo tanaasil supaaree ki miqdaar tak daakhil huaa hai ya nahin to oospar ghusl waajib nahin hai.
7. N’auzbillah Agar koi shakhs kisi haiwaan ke saath watee kare aur oos ki manee khaarij ho to sirf ghusl karna kafee hai aur agar manee khaarij ho aur oos ne watee karne se pahle wuzu kiya huaa ho tab bhi sirf ghusl karna kafee hai aur agar wuzu naa kar rakhaa ho to Ehteyaat-e- waajib yeh hai keh ghusl kare aur wuzu bhi kare aur mard ya larke se watee karne ki surat mein bhi yahee hukm hai.
8. Agar manee apni jagah se harkat kare Laikin khaarij naa ho ya insaan ko shak ho keh manee khaarij huaa hai ya nahin to oos par ghusl waajib nahin hai.
9. Jo shakhs ghusl naa kar sake Laikin tayyamum kar saktaa ho woh namaaz ka vaqt daakhil hone ke b’ad bhi apni biwi se jam’a kar saktaa hai.
10. Agar koi shakhs apne lebaas mein manee dekhe aur jaantaa ho keh oos ki apni manee hai aur oosne manee ke liye ghusl naa kiya ho to zaruri hai keh ghusl kare aur jin namaazon ke baare mein Oose yaqeen ho keh woh oos ne manee khaarij hone ke b’ad padhee thee oonki qazaa kare Laikin oon namaazon ki qazaa zaruri nahin jin ke baare mein ihtemaal ho keh woh oosne manee khaarij hone se pahle padhee theen.

Comments

Visitor's