1. Wuzu mein waajib hai keh chehraah aur dono saath dho’e jaayen aur sar ke agle hisse aur dono paa’on ke saamne waale hisse ka massah kiya jaaye.
2. Chehre ko lambaa’ee mein peshaanee ke uupar oos jagah se le kar jahan sar ke baal oogte hain thodhee ke aakharee kanaare tak dhonaa zaruri hai aur chauraa’ee mein beech ki oonglee aur angoothe ke phailaa’o mein jitnee jagah aa jaaye ise dhonaa zaruri hai. Agar is miqdaar ka zaraa saa hissah bhi chhoot jaaye to wuzu baatil hai aur agar insaan ko yeh yaqeen nah ho keh zaruri hissah pooraa dhul gaya hai to yaqeen karne ke liye thoraa idhar udhar dhonaa bhi zaruri hai.
3. Agar kisi shakhs ke haath ya chehreh aa‘am logon ki ba nisbat baare ya chhote hon to ise dekhnaa chaahiye keh a‘am log kahan tak apnaa chehrah dhote hain aur phir woh bhi itnaa hee dho daale.
4. Agar is baat ka ihtemaal ho keh kisi shakhs ki bh’on, aankh ke goshon aur honton par mail ya koi dusri cheez hai jo paani ke in tak pohoonchne mein rookawat hai aur is ka yeh ihtemaal logon ki nazaron mein darust ho to zaruri hai keh wuzu se pahle tahqeeq kar le aur agar koi aisi cheez ho to ise door kar le.
5. Agar chehreh ki jild baalon ke neeche se nazar aatee ho to paani jild tak pohuchnaa zaruri haiaur agar nazar naa aatee ho to baalon ka dhonaa kafee hai aur in ke neeche tak paani pohoonchaanaa zaruri nahin.
6. Agar kisi shakhs ko shak ho ke haya is ke chehre ki jild baalon ke neeche se nazar aatee hai ya nahin to Ehteyaat-e-waajib ki bina par zaruri hai keh baalon ko dho’e aur paani jild tak bhi pohoonchaa’e.
7. Naak ke androonee aur honton aur aankhon ke oon hisson ka jo boond karne par nazar nahin aate dhonaa waajib nahin hai. Laikin agar kisi insaan ko yeh yaqeen naa ho keh jin jagahon ka dhonaa zaruri hai in mein koi jagah baaqee nahin rahee to woh waajib hai keh in ‘azaa’ ka kuchh izaafee hissah bhi dho le taa keh ise yaqeen ho jaaye aur jis shakhs ko is baat ka i’lm naa thaa agar is ne jo wuzu kiya hai is mein zaruri hisse dhone ya naa dhone ke baare mein naa jaantaa ho to is wuzu se is ne jo tamaam namaazein padhee hai woh sahee hai aur b;d ki namaazon ke liye wuzu karna zaruri nahin hai.
8. Ehteyaat-e-laazim ki bina par zaruri hai keh saathon aur isi tarah chhere ko uupar se niche ki taraf dhoea jaaye. Agar niche se uupar ki taraf dho’e jaayen to wuzu baatil hoga.
9. Agar haathelee paani se tar kar ke chhere aur haathon par pheree jaaye aur saath mein itnee taree ho keh ise pherne se poore chhere aur haathon par paani pohoonch jaaye to kafee hai. In par paani ka bahnaa zaruri nahin.
10. Chehre dhone ke b’ad pahle dayaan haath aur phir bayan haath kohnee se oongleeon ke saron tak dhonaa zaruri hai.
11. Agar insaan ko yaqeen na ho keh kohnee ko pooree tarah dho liya hai to yaqeen haasil karne ke liye kohnee se uupar ka kuchh hissah dhonaa bhi zaruri hai.
12. Jis shakhs ne chehraa dhone se pahle apne haathon kp kalaayee ke jor tak dhoea ho zaruri hai keh wuzu karte vaqt oongoolion ke saron tak dho’e. Agar woh sirf kalaayee ke jor tak dho’egaa to is ka wuzu baatil hoga.
13. WazU mein chehre aur haathon ka ek daf’a dhonaa waajib, dusri daf’a dhonaa mustahab aur teesree daf’a ya is se zayada daf’a dhonaa haraam hai. Ek daf’a dhona oos vaqt mukamal hoga jab wuzu ki niyyat se itnaa paani chehre ya haath par daale keh woh paani poore chehre ya haath par pohoonch jaaye aur Ehteyaat ke liye koi goonjaaish baaqee na rahe. Lehazaa agar pehlee daf’a dhone ki niyyat se das baar bhi chehre par paani daale taakeh paani tamaam maqaamaat tak pohoonch jaaye to is mein koi harj nahin hai aur jab tak wuzu karne ya chehrah dhone ki niyyat na kare pahlee baar dhonaa shumaar nahin hoga. Lehazaa agar chahe to chand baar chehre ko dho le aur aakhree baar chehra dhote vaqt wuzu ki niyyat kar le Laikin soosree daf’a dhone mein niyyat ka ma’tbur honaa ishkal se khaalee nahin hai aur Ehteyaat-e-laazim yeh hai keh ek martabah chehre ya haathon ko dho lene ke b’ad dusri baar dhone ke liye ek baar se zayadaa na dho’e agar che wuzu ki niyyat se na bhi ho.
14. Dono haath dhone ke b’ad sar ke agle hisse ka massah wuzu ke paani ki is taree se karna chaahiye jo haathon ko lagee rah gayee ho aur Ehteyaat-e-mustahab yeh hai keh massah daay’en haath se kiya jaaye aur uupar se niche ki taraf ho.
15. Sar ke chaar hisson mein se peshaanee se milaa hi ek hissah woh maqaam hai jahaan massah karna chaahiye. Is hisse mein jahan bhi aur jis andaaz se bhi massah karein kafee hai. Agar che Ehteyaat-e-mustahab yeh hai keh lambaa’ee mein ek angoolee ki lambaa’ee ke lagbhag aur chauraa’ee mein teen milee hu’ee angooleeon ke lagbhag jagah par massah kiya jaaye.
16. Yeh zaruri nahin keh sar ka massah jild par kiya jaaye balkeh sar ke agle hisse ke baalon par karna bhi durust hai. Laikin agar kisi ke sar ke baal itne lambe hon keh maslan agar kanghaa kare to chehre par aakar ya sar ke kisi dusre hisse tak jaa pohoonche to zaruri hai keh woh baalon ki jaron par massah kare aur agar woh chehre par aa girne waale ya dusre hisson ke baalon ko sar ke agle hisse mein jam’a kar ke in par massah kare to aisaa massah baatil hai.
17. Sar ke massah ke b’ad wuzu ke paani ki is taree se jo haathon mein baaqee ho paa’on ki kisi ek angoolee se le kar paa’on ke jor tak massah karna zaruri hai aur Ehteyaat-e-mustahab yeh hai keh daa’en haath se aur baa’en p’air ka baa’en haath se massah kiya jaaye.
18. Paa’on par massah chauraa’ee mein jitnaa bhi ho kafee hai Laikin behtar hai keh teen milee hu’ee angoolee ki chauraa’ee ke baraabar ho aur is se bhi behtar yeh hai keh paa’on ke poore uuparee hisse ka massah pooree haathelee se kiya jaaye.
19. Zaruri nahin hai keh paa’on ka massah karte vaqt haath angoolee ke seeron par rakhe aur phir paa’on ke uupar kheenche balkeh yeh bhi kiya jaa saktaa hai keh pooraa haath paa’on par rakhe aur thoraa saa kheenche,
20. Sar aur paa’on ka massah karte vaqt haath in par kheenchnaa zaruri hai aur agar haath ko saakin rakhe aur sar ya paa’on ko is par chalaaye to baatil hai Laikin haath kheenchne ke vaqt sar aur paa’on m’amoolee harkat Karen to koi harj nahin.
21. Jis jagah ka massah karna ho zaruri hai keh woh khushk ho. Agar woh is qadar tar ho keh haathelee ki taree is par asar naa kare to massah baatil hai.Laikin agar is par namee ho ya taree itnee kam ho keh woh haathelee ki taree se khatam ho jaaye to phir koi harj nahin.
22. Agar massah karne ke liye haathelee par taree baaqee naa rahee ho to dusre paani se tar nahin kiya jaa saktaa balkeh aisi surat mein zaruri hai keh apni dhaarhi ki taree le kar is se massah kar le. Daadhi ke a’lawa aur kisi jagah se taree le kar massah karna mahal ishkal hai.
23. Agar haathelee ki taree sirf sar ke massah ke liye kafee ho to Ehteyaat-e-waajib hai keh sar ka massah is taree se kare aur paa’on ke massah ke liye apni daarhi se taree haasil kare.
24. Moze aur joote par massah karna baatil hai. Han ! agar sakhat sardee ki wajah se ya chor ya darinde waghairah ke khauf se joote ya moze naa ootaare jaa saken to Ehteyaat-e-waajib yeh hai keh moze aur joote par massah kare aur tayyamum bhi kare. Yaqeen ki surat mein moze aur joote par massah karna kafee hai.
25. Agar paa’on ka uupar walaa hissah najis ho aur massah karne ke liye ise dhoea bhi naa jaa saktaa ho to tayyamum karna zaruri hai.
Comments