Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Kafan ke Ehkaam



1. Musalmaan mayyat ko teen kapdon ka kafan denaa zaruri hai jinhein lug, kurtaa aur chaadar kahaa jaataa hai.
2. Ehteyaat-e-waajib ki bina par zaruri hai ke loong aisi h jo naaf se ghutno tak badan ke aitraaf ko dhaanp le aur behtar yeh hai keh seene se paa’on tak pohoonche aur kurtaa Ehteyaat-e-


waajib ki bina par aisaa ho keh kandhon ke saron se aa’dhee pindleeon tak tamaam badan ko dhaanpe aur behtar yeh hai keh paa’on tak pohoonche aur chaadar ki lambaa’ee itnee honee chaahiyekeh poore badan ko dhaanp de aur Ehteyaat-e-waajib yeh hai keh chaadar ki lambaa’ee itnee ho keh mayyat ke paa’on aur sar ki taraf se giroh de saken aur is ki chauraa’ee itnee ho keh is ka ek kinaaraa dusre kinaare ke uupar aa’a sake.
3. Waajib miqdaar ki had tak kafan jis ka zikr saabqaa masa’el mein ho chuka hai mayyat ke asal maal se liya jaayegaa balkeh kafan ki mustahab miqdaar ko bhi mayyat ki shaan aur ‘araf ‘aam ko peshe nazar rakhte hu’e mayyat ke asal maal se liya jaa saktaa hai. Agar che Ehteyaat-e- mustahab yeh hai keh waajib miqdaar se zaa’ed kafan oos waarason ke hisse se naa liya jaaye jo abhi baaligh naa hu’e hon.
4. Agar kisi shakhs ne wasiyat ki ho keh mustahab kafan ki miqdaar oos ke ek tehayee maal se lee jaaye ya yeh wasiyat ki ho keh oos ka tehayee maal khud oos par kharch kiya jaaye alikin oos ke moossarraf ka taa’een naa kiya hoya sirf oos ke kuchh hiss eke moosarraf ka taa’een kiya ho to mustahab kafan ki miqdaar jo chaahe ‘araf ‘aam se barh kar ho oos ke tehayee maal se lee jaa sakti hai.
5. Agar marne waale ne yeh wasiyat naa ki ho keh kafan oos ke tehayee maal se liya jaaye aur muta’lqaah ashkhaas chaahein keh oos ke asal maal se lein to jo bayan mass’ale 561 mein guzar chuka hai oos se zayadah naa lein. Maslan woh mustahab kam jo keh m’amoolan anjaam naa di’e jaate hon aur jo mayyat ki shaan ke mutaabiq bhi naa hon to oon ki adaa’edee ke liye hargiz asal maal se naa lein aur bilkul isi tarah kafan ki qimat m’amoomal se zayadah ho to azaafee raqam ko mayyat ke asal maal se nahin liya jaa saktaa Laikin jo warsaa’ baaligh hain to oon ke hisse se oon ki ijaazat se liya jaa saktaa hai.
6. Aurat ke kefan ki zimmedaari shauhar par hai khawaah aurat apnaa maal bhi rakhtee ho. Isi tarah aurat ko agar is tafseel ke mutaabiq jo talaaq ke Ehkaam mein aayegee talaaq raj’ee dee gayee ho aur woh ‘eddat khatam hone se pahle mar jaaye to shauhar ke liye zaruri hai keh Oose kafan de. Agar shauhar baaligh naa ho ya deewaana ho to shauhar ke wali ko chaahiye keh oos ke maal se aurat ko kafan de.
7. Mayyat ko kafan denaa oos ke qaraabardaaron par waajib nahin, go oos ki zindagee mein akhraajaat ki kaffaliat oon par waajib rahee ho.
8. Agar mayyat ke paas kafan ka intezaam karne ke liye koi maal naa ho to Oose barhainaa daf’an karna jayez nahin hai balkeh binabar Ehteyaat musalmaanon par waajib hai keh Oose kafan pehnaa’ein. Yeh jaayez hai keh oos ke akhraajaat ko zakat ki baabat mein hisaab kar liya jaaye.
9. Ehteyaat yeh hai keh kafan ke teenon kapdon mein se har kapdhaa itnaa baareek naa ho keh mayyat ka badan oos ke niche se nazar aaye Laikin agar is tarah ho keh teenon kapdon ko milaakar mayyat ka badan oos ke niche se nazar naa aaye to kafee hai.
10. Ghasab ki hu’ee cheez ka kafan denaa khawaah ko’ee dusri cheez ma’esar naa ho tab bhi jaayez nahin hai. Pas agar mayyat ka kafan ghasbee ho aur oos ka maalik raazee naa ho to woh kafan oos ke badan se itnaa lenaa chaahiye khawaah oos ko daf’an bhi kiya jaa chuka ho Laikin baa’z suraton mein ( ooske badan se kafan utaarnaa jaayez nahin ) jis ki tafseel ki gujaayesh oos maqaam par nahin hai.
11. Mayyat ko najis cheez ya khaalish reshmee kapde ka kafan denaa aur Ehteyaat ki bina par sone ke paani se kam kiye hu’e kapde ka kafan denaa jaayez nahin Laikin majbooree ki haalat mein koi harj nahin hai.
12. Mayyat ko najis murdaar ki khaal ka kafan denaa ikhteyaree haalat mein jaayez nahin hai balkeh paak murdaar ki khaal ka kafan denaa bhi jaaye nahin hai aur Ehteyaat-e-waajib ki bina


par kisi aise kapde ka kafan denaa jo haraam ghosat jaanwar ke oon ya baalon se tayyar kiya gaya ho ikhteyaree haalat mein jaayez nahin hai Laikin agar kafan halaal ghosat jaanwar ke baal ya oon ka ho to koi harj nahin. Agarche Ehteyaat-e-mustahab yeh hai keh in dono cheezon ka bhi kafan naa diya jaaye.
13. Agar mayyat ka kafan ooski apni najaasat ya kisi dusra sat se najis ho jaaye aur agar aisaa karne se kafan zaa’e naa hota ho to jitnaa hissaah najis ho Oose shonaa ya katnaa zaruri hai khaawoh mayyat ko qabar mein hee kioon naa utaaraa jaa vhuka hon. Agar ooska dhonaa ya katnaa mumkin naa ho Laikin badal lenaa mumkin ho to zaruri hai keh badal dein.
14. Agar koi aisaa shakhs mar jaaye jis ne haj ya ‘umre ka ehraam baandh rakhaa ho to Oose dasron ki tarah kafan pehnaanaa zaruri hai aur oos ka sar aur chehraa dhaank dene mein koi harj nahin.
15. Insaan ke liye apni zingadi mein kafan, beree aur kafoor tayyar rakhnaa mustahab hai.

Comments

Visitor's