Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Tayyamum


Saat suratein hain wazu ya ghusl ke bajaaye tayyamum karna zaruri hai :

Tayyamum ki pehli surat

Paani ka na hona -
617. Agar insaan aaba’adi mein ho to zaruri hai ke wazu aur ghoosk ke liye paani muhaiyya karne ke liye itni joostuju kare ke bil aakhir ooske milne se na umeed ho jaaye aur agar biyaabaan mein ho to zaruri hai ke raaston mein yaa theherne ki jagahon mein paani talaash kare aur ehteyaat-e-laazim yehh hai ke wohan ki zameen na humwaar ho ya darakhton ki kasrat ki wajah se raah chalna dashvaar ho chaaron aitraaf mein se har taraf puraane zamaane kamaan ke challe pe chada kar phenke jaane waale teer ki parwaaz ke faasle ke barabar paani ki talaash mein jaayein warna har taraf andaazan do baar phenke jaane waale teer ke faasle ke barabar joostuju kare.
618. Agar chaar aitraaf mein se b’az humwar aur b’az nahumwar hon to jo taraf humwar hon oos mein do teeron ki parwaz ke barabar aur jo taraf nahumwar hon oos mein ek teer ki parwaz ke barabar paani talash kare.
619. Jis tarf paani na hone ka yaqeen ho oos taraf talaash karna zaruri nahi hai.
620. Agar kisi shakhs ki namaaz ka vaqt tang na ho aur paani haasil karne ke liye ooske paas vaqt ho aur oose yaqeen ya itmenaan ho ke jis faasle tak ooske liye paani talaash karna zaruri hai oosse door paani maujood hai to oose chahiyeh ke paani haasil karne ke liye wohan jaaye laikin agar wohan jaana masshhqat ka baa’es ho yaa paani bohot zayada door ho ke log yeh kahe ke ooske paas paani nahi hai to wohan jaana laazim nahi hai aur agar paani hone ka gumaan ho to bhi jaana zaruri nahi hai
621. Yehh zaruri nahi hai ke insaan khud paani ki talaash mein jaaye balke woh kisi aise shakhs ki baat par iktefa kar sakta hai jisne justuju kar li ho aur jiski baat par oose itmenaan ho-
622. Agar is baat ka ehtemaal ho ke kisi shakhs ke liye apne safar ke samaan mein ya padaav daalne ki jagah ya kafile mein paani maujood hai to zaruri hai ke is qadr joostuju kare ke oose paani ke na hone ka itminaan ho jaaye ya ooske hasool se na umeed ho jaaye
-siwaayeh iske ke pehle kisi maurad mein paani na tha aur ab yeh ehtemaal ho ke shayad paani aa chukka ho ke is surat mein justuju zaruri nahi-
623. Agar ek shakhs namaaz ke vaqt se pehle paani talaash kare aur haasil na kar paayeh aur namaaz ke vaqt tak wohan rahe to agar paani milne ka ehtemaal ho to ehteyaat-e-mustahab yehh hai ki woh dobaara paani ki talaash mein jaaye.
624. Agar namaaz ka vaqt daakhil hone ke ba’ad paani talaash kare aur paani na haasil kar paayeh aur ba’ad wali namaaz tak oosijagah par rahe to agar paani milne ka ehtemaal ho to ehteyaat-e –mustahab yehh hai ke dobaara paani ki talaash mein jaaye.
625. Agar kisi shakhs ki namaaz ka vaqt tang ho ya oose chor daaku aur darinde ka khauff ho ya paani ki talaash itni kathin ho to woh oos sa’oobat ko bardaasht na kar sake to talaash zaruri nahi hai.


626. Agar koi shakhs paani talaash na kare hatta ke namaaz ka vaqt tang ho jaaye aur paani talaash karne ki surat mein paani mil sakta tha to woh goonaah ka murtakab hua laikin tayyamum ke saath ooski namaaz sahi hai.
627. Agar koi shakhs is yaqeen ki bina pap ke oosko paani nahi mil sakta hai paani ki talaash mein na jaaye aur tayyamum karke namaaz padhe aur ba’ad mein oose pata chale ke agar talaas karta to paani mil sakta tha to ehteyaat-e-laazim ke bina par wuzu karke namaaz dobaara padhe. 649. Agar kisi shakhs ko talaash karne par paani na mile aur milne se maayoos ho  kar  tayyamum ke saath namaaz padh le aur namaaz ke ba’ad oose pata chale ke jahan oosne talaash kiya tha wohan paani maujood tha to ooski namaaz sahi hai.
650. Jis shakhs ko yaqeen hai ke namaaz ka vaqt tang hai aur woh paani talaash kiyeh baghair tayyamum karke namaaz padh le aur namaaz padhne ke ba’ad aur vaqt guzarne se pehle oose pata chale ke paani talaash kare ke liye ooske paas vaqt tha to ehteyaat-e-waajib yehh hai ke woh dobaara namaaz padhe.
651. Agar ek shakhs bawuzu ho aur oose m’aloom ho ke agar oosne apna wuzu baatil kar diya  to dobaara wuzu karne ke lie paani nahi milegaayaa woh wuzu nahi kar paayehgato is surat mein agar woh apna wuzu barqrar rakh sakta ho to ehteyaat-e-wajib ki bina par oose chahiyeh ke wuzu baatil na kare abhi namaaz ka vaqt daakhil hua ho na hua ho laikin aisa shakhs yeh jaante hue bhi ke ghusl na kar paayehgaaapni biwi ke saath jama’a kar sakta hai.
652. Jab kisi ke paas faqat ghusl yaa wuzu ke liye paani ho aur woh jaanta ho ke oose giraa dene ki surat mein mazeed paani nahi milegaa to agar namaaz ka vaqt daakhil ho gaya ho to oos paani ka giraana haraam hai aur ehteyaat-e-waajib yeh hai ki namaaz ke vaqt se pehle bhi naa giraayeh. 653. Agar koi shakhs yeh jaante hue ke oose paani na mil sakega apna wuzu batil kar de yaa jo paani ooske paas ho oose giraa de to agarche oosne (hukm-e-masla ke) bar aqs kaam kiya hai tayyamum ke saath ooski namaaz sahi hogi laikin ehteyaat-e-mustahab yehh hai ke oos namaaz ki qaz’aa bhi kare.

Tayyamum ki dusri surat

Paani tak rasaa’ee na hona
654. Agar koi shakhs budhaape yaa kamzori ki wajah se yaa chor daaku aur jaanwar waghairah ke khauff se yaa kuwwe se paani nikaalne ke wasaail mayyasar na hone ki wajah se na kar sakte to zaruri hai ke tayyamum kare
655. Agar kuwein se paani nikaalne ke liye dol ya rassi waghairah zaruri ho aur insaan majboor hoke oonhein khareede ya kiraayeh par haasil kare to khwoha oonki kimat aam bhaao se kayi goonaa zayada hi kyoon na ho zaruri hai ke oonhein haasil kare-agar paani apni asli kimat se mehngaa bechaa jaa raha ho to ooske liye bhi yahi hukm hai-laikin oon cheezon ki husoolpar itna kharch uthta ho jo ooske maal ke a’itbaar se zarrar ka baa’es ho to phir oon cheezon ka  muhaiyya karna wajib nahi hai
656. Agar koi shakhs majboor ho ke paani muhaiyya karne ke liye karz le to karz lena zaruri hai laikin jis shakhs ko ilm ho yaa gumaan ho ke woh apne karze ki ada’engi nahi kar sakta ooske liye karz lena waajib nahi hai.
657. Agar koonwa khodne mein koi massshaqqat na ho to zaruri hai ke paani muhaiyya karne ke liye koonwa khode-
658. Agar koi shakhs baghair ahsaan rakhe kuch paani de to oose Kabul kar lena zaruri hai.

Tayyamum ki teesri surat

Paani ke iste’maal mein khauff ho


659. Agar paani ka iste’maal kisi shakhas ke liye jaan lewaa hoyaa ooske badan mein kisi aib yaa marz ke paida hone ya maujoodaa marz ke tulaani yaa shaded ho jaane yaa eelaajmuaalij mein dooshwaari paida hone ka sabab ho to ooske liye zaruri hai ke tayyamum kare-laikin agar paani ki zarar agar kisi tariqe se ddorkar sakte ho maslan yehh ke paani ke garam karne se zarar door ho sakta ho to paani garam karke wuzu kare aur agar ghusl karna zaruri ho to ghusl kare.
660. Zaruri nahi keh kisi shakhs ko yehh yaqeen ho ke paani ooske liye muzar hai balke agar zarar ka ehtemaal hoaur yeh ehtemaal aam logo ki nazron mein maaqool ho to tayyamum karna zaruri hai.
661. Agar koi shakhs zarur ke yaqeen ya ehtemaal ki wajah se tayyamum kare aur oose namaaz se pehle pata chal jaaye ke paani ooske liye nuksaandeh nahi hai to ooska tayyamum baatil hai aur agar is baat ka pata namaaz ke ba’ad pata chale to wuzu ya ghusl karke dobaara namaaz padhna zaruri hai siwaayeh iske ke zarar ke yakeen yaa ehtemaal ke bawajood wuzu ya ghusl karna aisi zehni bechaini ka baa’es ho jise bardasht karna mushkil hai.
662. Agar kisi shakhs ko yaqeen ho ke paani ooske liye muzar nahi hai aur ghusl ya wuzu kare ba’ad mein oose pata chale ke paani ooske liye muzar tha to wuzu aur ghusl dono baatil hai.

Tayyamum ki chauthhi surat

Harj aur masshaqqat
663. Agar kisi shakhs ke liye paani muhaiyya karna ya oose istemaal karna aise harj ya masshaqqat ka baa’es ho jise aam taur par bardaasht nahi kiya jaata ho to tayyamum kar sakta  hai laikin agar woh masshaqqat bardaasht karte hue wuzu yaa ghusl karle to oos ke liye wuzu ya ghusl sahi honge.

Tayyamum ki paanchvi surat

Paani pyaas bujhaane ke liye zaruri ho
664. Agar kisi shakhs ko pyaas bujhaane ke liye zarurat ho to zaruri hai ke tayyamum kare aur is wajah se tayyamum ke jaayez hone ki do surtein hain :

(1) Agar paani wazu ya ghusl karne mein sirf kar diyaa to woh khud fauri taur pe yaa ba’ad mein aisi pyaas mein mubtela hoga jo ooski halaqat ya alaalat ka mo’jab hogi ya jis ka bardaasht karna oos ke liye sakht takleef ka ba’es hoga
(2) Apne ala’wa khud se wabasta dusre afraad ke khatir darta ho chaahe woh dusre nufoos muhtaram bhi na rakhte ho jab ki oon ki zindagi ke oomur oos ke liye ehmiyat ke haamil ho chahe oos liye ke woho on se shaded mohabbat rakhta ho yaa oos a’itbaar se oon ka ka talf ho jaana oos ke liye maali nuksaan ka ba’es hai yaa oos ke liya oon ka khayal karna arffan oos ke liye zaruri hai jaise dost aur humsaayeh –oon dono surton ke alawa bhi mumkin hai ke pyaas tayyamum ke jawaaz ka sabab bane laikin oos wajah se nahi balki is liye ke jaan ki hifaazat waajib hai yaa is liye ki pyaase ki maut ya bechaini mummanan oos ke harj ka sabab bane

665. Agar kisi l ke paas oos paak paani ke ala’wa jo wuzu ya ghusl ke liye ho itna najis paani bhi ho jitna oose peen eke liye darkaar hai to zaruri hai ke paak paani peene ke liye rakh le aur tayamum karke namaaz padhe laikin agar paani oos ke saathiyon ke peen eke liye darkaar hao to woh paak paani se wuzu ya ghusl kar sakta hai kwoha oos ke saathi pyaas bujhaane ke liye najis paani peene par hi majboor kyoon na ho balki agar woh log oos paani ke najis hone ke baare mein na jaante ho yaa yehh ke najasat se parhez na karte ho to laazim hai ke paak paani wuzu ya ghusl ke liye sirf kare aur isis tarah paani jaanwar ya kisi baaligh bacche ko pilaana chahiyeh hai yab bhi zaruri hai ke oonhein woh najis paani pilaayeh aur paak paani se wuzu ya ghusl kare-


Tayyamum Ki chhati Surat

Wuzu ka takraav kisi shara’ee takleef se ho raha ho jo oon se zayada ahem ho ya massaavi
ho
666. Agar kisi  shakhs ka badan ya libaas najis ho aur oos ke paas itni miqdaar mein paani ho   ke woh oose wuzu ya ghusl kar le to badan ya libas dhone ke liye paani na bachta ho to zaruri hai ke badan ya libaas dhoyeh aur tayyamum kar ke namaaz pabhe- laikin agar oos ke paas aisi koi cheez na ho jis par tayyamum kare to zaruri hai ke paani ya wuzu ya ghusl ke liye istemaal kare agar oos k paas aisi koi cheez na ho jis par tayyamum kare to zaruri hai ke paaani wuzu ya ghusl ke liye istemaal kare aur najis badan ya libaas ke saath namaaz padhe-
667. Agar kisi shakhs ke paas siwaayeh aise paani ya bartan ke jiska istemaaal karna haraam hai koi aur bartan na ho maslan jo paani ya bartan ooske pas ho woh ghasbi ho aur oose ke ala’wa ooske paas paas koi paani ya bartan na ho to zaruri hai ke woh wuzu ya ghuslke bajaaye tayyamum kare-

Tayyamum Ki Saatwin Surat

Vaqt ka tang hona-
668. Jab vaqt itna tang ho ke agar ek shakhs wuzu ya ghusl kare to saari namaaz ya oos ka kuch hissa vaqt ke ba’ad padha jaa sake to zaruri hai ke tayyamum kare-
669. Agar koi shakhs jaan bujh ke namaaz padhne mein itni taakhir kare ke wuzu ya ghusl ka vaqt baaki na rahe to woh goonaah ka murtakab hogaa laikin tayyamum ke saath ooski namaaz sahi hai-agarche ehteyaat-e-mustahab yehh hai ki namaaz qaz’a bhi kare-
670. Agar kis ko shak ho ke woh wuzu ya ghusl kare to namaaz ka vaqt baaki rahega ya nahi to zaruri hai ke tayamum kare
671. Agar kisi shakhs ne vaqt ki tangi ki wajah se tayyamum kiya ho aur namaaz ke ba’ad wuzu kar sakne ke bawajoood na kiya ho hatta k eke jo paani ooske paas thaw o zaayaa ho gaya ho to oos surat mein oos ka fariza tayyamum ho zaruri hai ke aainda namaazo ke liye dobaara tayyamum kare khwoha tayyamum jo oosne kiya thaw o tuta na ho-
672. Agar kisi shakhs ke paas paani ho laikin vaqt ke tangi ke baa’es tayyamum karke namaaz phadne lage aur namaaz ke dauraan jo paani ooske paas thaw o zaaya ho jaaye-ab agar ooska fariza tayyamum ho to ba’ad ki namaazon ke liye dobaara tayyamum karna zaruri nahi hai agarche behtar hai-
673. Agar kisi shakhs ke paas itna vaqt ho ke woh wuzu ya ghusl kar sake aur namaaz ko ooske mustahab af’aal maslan aqamat aur qoonut ke baghair le to zaruri hai ke ghusl ya wuzu kar le  aur ooske mustahab af’aal ke baghair namaaz padhe balki agar surah padhne jitna vaqt bhi na bachta ho to zaruri hai ke ghusl ya wuzu kare aur baghair surah ke namaaz padhe-

Comments

Visitor's