Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Muhtazur ke Ehkaam


1. Jo musalmaan muhtazur ho y’aani jaan koonee ki haalat mein ho khawaah mard ho ya aurat, badhaa ho ya chhotraa, Oose Ehteyaat ki bina par basurat imkan pusht ke bal yoon letaanaa chaahiye keh ooske paaon ke talwe Qiblaa rukh hon.
2. Behtar hai keh jab tak mayyat ka ghusl mukkamal naa ho Oose bhi mazkuraah tariqe ke mutaabiq rubaaqiblaah letaaein Laikin jab ooska ghusl mukkamal ho jaaye to behtar hai keh Oose oos haalat mein letaain jis tarah Oose namaaz janaazah padhte vaqt letate hain.
3. Jo shakhs jaankoonee ki haalat mein ho Oose rubaaqiblaah letaanaa Ehteyaat ki bina par musalmaano par waajib hai. Lehaazah woh shakhs jo jaankoonee ki haalat mein hai raazee ho aur qaasar bhi naa ho (y’aani baaligh aur ‘aaqil ho) to oos kam ke liye oos ke wali ki ijaazat lenaa zaruri nahin hai. Iske a’lawaki surat mein oos ke wali se ijaazat lenaa Ehteyaat ki bina par zaruri hai.
4. Mustahab hai keh jo shakhs jaankoonee ki haalat ho oos ke saamne shahaadatain, baarah Imam ke naam aur dusre deenee ‘aqaaid is tarah dohraayen jaayen keh woh samajh le. Oos ki maut ke vaqt tak in cheezon ki takraar karna bhi mustahab hai.
5. Mustahab hai keh jo shakhs jaankoonee ki haalat mein ho Oose mandarjaah zeil Du’a is tarah se sunaaye jaaye keh samajh le :
“ Allahummagh fir leyal kasara mim m’asika waq bal minni yal yasara min ta’teka ya may yakbalul yasara wa y’afu a’nil kasariq bal minniyal yasara w’afu a’niyal kasara innaka antal a’fuw wul ghafuru. Allahummur hamni fainnaka rahim”.


6. Jis shakhs ki jaan sakhti se nikal rahee ho, agar Oose takleef naa ho to Oose oos jagah le janaa jahan woh namaaz padhtaa thaa mustahab hai.
7. Jo shakhs jaankooni ke ‘alaam mein ho oos ki ‘aasaani ke liye (y’aani is maqsad se keh oos ki jaan ‘asaani se nikal jaaye) ooske sarhaane Surah Y’aseen, Surah Saafaat, Surah Ehzaab, ayatulkursi, Surah A’iraafki ay 54 Surah Baqrah ki ‘Akhiri teen ayat padhnaa mustahab hai balkeh Qur’aan Majeedjitnaa bhi padhaa jaa sake padhaa jaaye.
8. Jo shakhs jaankooni ke ‘aalam mein ho Oose tanhaa chhodhnaa, koi bhaari cheez ooske peit par rakhnaa, joonub aur haa’iz ka ooske qareeb honaa, isi tarah oos ke paas zayadah baatein karnam ronaa aur sirf auraton ko chhornaa maqrooh hai.

Comments

Visitor's