682. Agar ek shakhs peshaani yaa haathon ki pusht ke zara se hisse ka bhi massah na kare to oos ka tayyamum baatil hai qat’a nazar oosse ke oosne a’mdoon massah na kiya ho ya massla na jaanta ho ya massla bhool gaya ho laikin zayada baarik bani ka bhi khayaal rakhna zaruri nahi- agarche kaha jaa sake ke tamaam peshaani aur haathon ka massah ho gaya hai to itna hi kaafi hai. 693. Agar kisi shakhs ko yakeen na ho keh haath ki pusht ka massh kar liya hai to yakeen haasil karne ke liye zaruri hai keh kalaai se kuch uupar waale hisse ka bhi massah kar le laikin oongliyon ke darmiyaan massah karna zaruri nahi hai-
694. Tayyamum karne waale ko peshaani aur haathon ki pusht ka massah ehteyaat ki bina par uupar se neeche ki jaanib karna zaruri hai aur yehh af’aal ek dusre se mutsil hone chahiyeh aur agar oon af’aal ke darmiyaan itna faasla de keh log yehh na kahe ke tayyamum kar raha hai to tayyamum baatil hai.
695. Niyyat karte vaqt laazim nahi hai ke is baat ka ta’een kare ke ooska tayyamum ghusl ke badle hai ya wuzu ke badle laikin jahan do tayyamum anjaam dena zaruri ho to zaruri hai ke oon mein se har ek ko kisi bhi a’itbaar se mo’ayyan kare aur agar oos par ek tayyamum waajib ho to niyyat kare keh main is vaqt apna farizaa anjaam de raha hoon to agarche woh mu’ayyan karne mein ghalti kare to ooska tayyamum sahi hai
696. Tayyamum mein peshaani haathon ki haatheli aur haathon ki pusht zaruri nahi hai ke paak ho, agarche behtar hai ke paak ho.
697. Zaruri hai keh haath par massah karte vaqt anghoothi ootaa de aur agar peshaani ya haathon ki pusht ya haathelyon par koi rukawat ho maslan koi cheez agar chipki hui ho ti oose hata de.
698. Agar kisi shakhs ki peshaani ya haathon ki pusht par zakhm ho aur oos par kapda ya patti bandhi ho jis ko khola na jaa sake to zaruri hai ke ooske uupar se haath phere-agar haatheli zakhmi ho aur uupar kapda ya patti waghairah bandhi ho jise khola na jaa sake to zaruri hai ke kapde ya patti waghairah samet haath oos cheez par mare jis cheez par tayyamum karna sahi ho aur phir peshaani aur haathon ki pusht par phere,laikin agar haatheli ka kuch hissa khula hua ho to oosi ko zameen par mar kar oosi se massah kar lena kaafi hai.
699. Agar kisi shakhs ki peshaani ya haathon ki pusht par ma’mool ke muta’bik baal ho to koi harj nahi hai laikin agar sar ke baal peshaani pea a gire ho to to zaruri haioonhein peeche hata de 700. Agar ehtemaal ho ke pehaani aur haatheliyon yaa haathon ko pusht par koi rukawat hai aur yehh ehtemaal logon ki nazon mein ma’qol ho to zaruri hai ke chaan been kare take oose yaken ya itmenaan hi jaaye ke rukawat maujood nahi hai-
701. Agar kisi shakhs ka fariza tayyamum ho aur woh khud tayyamum na kar sakta ho to to zarurihai ke kisi dusri shakhs ki madad le take woh madadgaar muta’elaqa shakhs ke haathon ko oos cheez par maare jis cheez par tayyamum karna sahi hao aur phir mut’aelaqa shakhs ke haathon ko ooski peshaani aur dono haathon ki pusht par phere aur agar yehh mumkin na ho to naa’eb ki liye zaruri hai ke apne haathon ko oos cheez par mare jis cheez par tayyamum karna sahi ho aur phir mut’aelaqa shakhs ki haathon aur peshaani par phere –oon dono surton mein ehteyaat-e-laazim ke bina par dono shakhs tayamum ki niyyat kar le laikin pehli surat mein khud muqqalif ki niyyat kaafi hai-
702. Agar koi shakhs tayyamum ke dauraan shak kare keh woh oos ka koi isa bhool gaya hai yaa nahi aur oos hisse ka mauka guzar gaya ho to woh apne shak ki parwoh na kare aur agar mauka na guzraa to zaruri hai ke oos hisse ka tayyamum kar le –
703. Agar kisi shakhs ko baayeh haath ka massah karne ke ba’ad shak ho ke aaya ooska ka tayamum durust hai ya nahi to ooska tayyamum sahi hai agar oos ka shak baayeh haath ke masseh ke baare mein ho ooske liye zaruri hai ke oos ka massah kare, siwaayeh iske keh log yehh kahein ke tayyamum se faarigh ho chuka ha. Maslan is shakhs ne koi aisa kaam kiya ho jis ke liye tahaarat shart hai yaa tassalsal khatm ho gaya ho-
704. Jis shakhs ka fariza tayyamum ho agar woh namaaz ke poore vaqt mein guzar ke khatm hone se ma’yus ho ya oose is baat ka ehtemaal ho ke agar tayamum mein taakhir karegaa to vaqt daakhil hone ke ba’ad tayyamum na kar sakegaa to aisa shakhs vaqt daakhil hone se pehle bhi tayyamum kar sakta hai aur agar oosne kisi dusre waajib ya mustahab kaam ke liye tayyamum kiya ho aur namaaz ke vaqt tak ooska uzr baaki ho to oosi tayyamum ke saath woh naaz padh sakta hai-
705. Jis shakhs ka fariza tayyamum ho agar oose ilm ho ke aakhir vaqt tak ooska uzr baaki rahegaa yaa woh uzr ke khatm hone se maayus ho to vaqt ke was’ii hote hue tayyamum ke saath namaaz padh sakta hai-laikin agar woh jaanta ho ke aakhir vaqt tak ooska uzr ddor ho jaayegaaa to intezaar kare aur wuzu ya ghusl karke namaaz padhe- balki agar woh aakhir vaqt tak guzar ke khatm hone se bhi maayus na ho to maayus hone se pehle tayyamum kar ke namaaz nahi padh sakta-siwaayeh ooske key eh ehtemaal ho ke agar tayyamum karke jaldinamaaz na padhi to phir vaqt khatm hone tak hatta ke tayyamum karke namaaz na padh paayehga-
706. Agar koi shakhs wuzu ya ghusl na kar sakta ho aur woh uzr ke bar taraf hone se maayus ho to woh apni qaz’a namaazein tayyamum ke saath padh sakta hai –laikin agar ba’ad mein uzr khatm ho jaaye to ehteyaat-e waajib yehh ke woh namaazein wuzu ya ghusl karke dobaara
padhe aur agar uzr door hone se mayusi na ho to ehteyaat-e-laazim ki bina par qaz’a namaazon ke liye tayyamum nahi kar sakta-
707. Jo shakhs wuzu ya ghusl na kar sakta ho to oos ke liye jaayez hai ke jin mustahab namaazon ka vaqt mu’ayyan hai jaise din raat ki nawaafil, tayyamum karke padhe laikin agar maayus na ho ke aakhir vaqt tak ooska uzr door ho jaayegaa to ehteyaat-e-laazim hai ke woh namaazein oonke awwal vaqt mein na padhe aur jin mustahab namaazon ka vaqt mu’ayyan nahi hai oonhein mutlaqan tayyamum ke saath padh sakta hai-
708. Jis shakhs ne ehteyaatan jabirah ghusl aur tayyamum kiya ho woh agar ghusl aur tayyamum ke ba’ad namaaz padhe aur namaaz ke ba’ad oose hadase asghar saadir ho jaaye to zaruri hai ke oos namaaz ke liye bhi wuzu kare
709. Agar koi shakhs paani na milne ki wajah se ya kisi aur uzr ki bina par tayyamum kare to uzr ke khtm ho jaane ke ba’ad osska tayyamum baatil ho jaata hai-
710. Jo cheezein wuzu ko baatil karti hai woh wuzu ke badle kiyeh kiyeh hue tayyamum ko bhi baatil karti hainaur jo cheezein ghusl ko baatil karti hai woh ghusl ke badle kiyeh hue tayyamum ko bhi baatil karti hai-
711. Agar koi shakhs ghusl na kar sakta ho aur oospar chand ghusl waajib ho to ooske liye jaayez hai ke oon tamaam ghuslon ke badle ek tayamum kar le aur ehteyaat-e-mustahab yehh hai ki oon ghuslon mein se har ek ke badle ek tayyamum kare-
712. Jo shakhs ghusl na kar sakta ho agar woh aisa kaam anjaam dena chaahe jis ke liye ghusl waajib ho to zaruri hai ke ghusl ke badle tayyamum kare aur jo shakhs wuzu na kar sakta ho agar koi aisa kaam anjaam dena chaahe jis ke liye wuzu karna waajib ho to zaruri hai ke wuzu ke badle tayyamum kare
713. Agar koi shakhs ghusl-e-janabat ke badle tayyamum kare to namaaz ke liye wuzu karna zaruri nahi hai-isi tarah agar kisi aur ghusl ke badle tayyamum kare to bhi yahi hukm hai laikin is surat mein ehtiya-e-mustahab yehh hai ke wuzu bhi kar le aur agar woh wuzu na kar sake to wuzu ke badle ek aur tayyamum kare-
714. Agar koi shakhs ghusl ke badle tayyamum kare aur ba’ad mein oose kisi aisi surat se do chaar hone pade jo wuzu ko baatil kar deti ho aur ba’ad ki namaazon ke liye ghusl bhi na kar sakta ho to zaruri hai ke wuzu kare aur ehteyaat-emuatahab hai ke tayyamum bhi kare- agar wuzu na kar sakta ho towuzu ke badle tayyamum kare-
715. Jis shakhs ka farizaa tayyamum ho agar woh kisi aur kaam ke liye tayyamum kare to jab tak ooska tayyamum aur uzr baaki hai woho on kaamon ko kar sakta hai jo wuzu ya ghusl kar ke karna chahiyeh-laikin agar ooska uzr vaqt ki tangi ho yaa oosne paani hote hue namaaz-e mayyat ya soone ke liye tayyamum kiya ho to woh faqat oon kaamon ko anjaam de sakta hai jin ke liye oosne tayamum kiyaa tha-
716. Chand surton mein behtar hai keh namaazein insaan ne tayamum ke saath padhi ho oon ki qaz’a kare :
1) Paani ke istemaal se darta ho aur oosne jaan bhooj ke apne aap ko joonoob kar liya ho aur tayyamum karke namaaz padhi ho-
2) Yehh jaante hue ya gumaan karte hue ke oose paani na mil sakegaa amdan apne aapko joonoob kar liya ho aur tayyamum karke namaaz padhi ho –
3) Akhir vaqt tak paani ki talaash mein na jaaye aur tayyamum karke namaaz padhe aur ba’ad mein oose pata chale ke agar talaash karta to paani mil jaata-
4) Jaan bhoojh ke namaaz padhne mein taakhir ki ho Aur aakhir vaqt mein tayyamum karke mamaaz padhi ho-
5) Yehh jaante hue ya gumaan karte hue ke paani nahi milega jo paani ooske paas tha oose gira diya ho aur tayyamum kar ke namaaz padhe-
Comments