1. Mustahab hai keh marne ke b’aad mayyat ki aankhein aur hont boond kar di’e jaayen, oos ki thodhi ko baand diya jaaye, oos ke haath aur paaon seede kar diye jaayen aur oos ke uupar kapdhaa daal diya jaaye. Agar maut raat ko waa’qe ho to jahaan maut waaq’e hue ho waahan chiraagh jalaayen (roshni kar dein) aur janaaze mein shirkat ke liye maumeneen ko itlaa’ dein aur mayyat ko daf’an karne mein jaldi karein Laikin agar oos shakhs ke marne ka yaqeen naa ho to intezaar karein taakeh surat haal waazeh ho jaaye. a’lawAgar mayyat haamlah ho aur bachchaa oos ke pait mein zindaa ho to zaruree hai keh daf’an karne mein itnaa tawaqqaf karein keh pahlu chaak kar ke bachchaa baahar nikal lein aur phir pahloo ko see dein.
Comments