Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Namaaz ke Ehkaam


Namaaz deeni aamal mein se behtar amal hai-agar yeh baarghaahe Ilaahi mein qabool ho gayi to baaki saari iba’adat bhi qabool ho jaayegi aur agar yeh qabool na hui to dusre amaal bhi qubul na honge-jis tarah insaan din mein paanch daf’a neher mein nahaayeh dhooyeh to oose ke badan par meil kuchail nahi rehti oosi tarah paanch vaqt namaaz bhi insaan ko goonaah se paak kar deti hai aur behtar hai ke insaan awwal-e-vaqt par namaaz padhe-jo shakhs namaaz ko maa’muli aur ghair ahem samjhe woh oos shakhs ki maanind hai jo namaz na padhta ho-
Huzoor nabi-e-karim sallalaaho alehe wa aalihi wasallam ka irshaade giraami hai: jo shakhs namaaaz ko ehmiyat na de aur oose m’amuli cheez samjhe woh aakherat mein azaab ka mustaheq hai-
Ek din aap sallalaho alaihe waaalehi wasallam massjid mein tashreef farmaa the k eek shakhs massjid mein daakhil hua aur namaaz padhne mein masshghool ho gaya laikin ruku aur sujood mukkamal taur par na baja laaya-oospar aap sallalaho alaihe wa aalehi wasallam ne farmaya “agar yehh shakhs is haalat mein mar jaaye jabki ooski namaaz padhne ka tariqa hai to yehh hamaare deen par nahi marega” Pas insaan ko khayaal rakhna chahiyeh ke namaaz jaldi jaldi na padhe aur namaaz ki haalat mein khuda ki yaad mein raheaur khushu aur khuzu aur waqar aur yaksooi se namaaz padhe aur yehh khayaal rakhe ke kisi hasti se se kalaam kar raha hai aur apne aaapko khuda wande aalim ki azmat aur buzurgi ke muqable mein haqeer aur naacheez samjhe-agar insaan poaari tarah in baaaton ki taraf muuawjjeh rahe woh apne aap se bekhabar ho jaatahai jaise ki namaaz ki haalat mein hazrat-e-ammerul momineen imam Ali alaihis salaam ke paao se teer kheech liya gaya aur aap ko khabar tak na hui-a’lawa aze namaaz padhne waale ko chahiyeh ke woh tauba ,astaghfaar kare aur na sirf oon goonaaho ko jo namaaz qabool hone mein maaane hote ho-maslan hasad ,takkabur,ghibat ,haraam khana ,sharaab peena aur khums aur zakaat ka na ada karna-tark kare balke tamaam goonaah trak kar de-niz behtar hai ke jo kaam namaaz ka sawaab ghataayeh woh kaam na kare-maslan oongne ki haalat mein ya peshhab rok kar khade na ho aur namaaz namaaz ke mauke par aasmaan ki taraf na dekhe aur woh kaam kare jo namaaz ka sawab badhaata haimsalan aqiq ki anghoothi ya paakeeza libaas phenna khanghi aur miswaak karna uar khushboo lagana-

Comments

Visitor's