Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Ghusl Mass Mayyat


1. Agar koi shakhs kisi aise murdah insaan ke badan ko mask are jo thandaa ho chuka ho aur jise ghusl naa diya gaya ho y’anee apne badan ka koi hissah oos se lagaa’e to zaruri hai keh  ghusl mass mayyat kare khawaah oos ne neend ki haalat mein murde ka badan mass kiya ho ya bedaaree ke ‘aalam mein aur khawaah araadee taur par mass kiya ho ya gair araadee taur par, hatta keh agar oos ka naakhoon ya haddee murde ke naakhoon ya haddi se mass ho jaaye tab bhi ghusl karna zaruri hai Laikin agar murdah haiwaan ko mass kare to oos par ghusl waajib nahin hai.
2. Jis murde ka tamaam badan thandaa huaa ho Oose mass karne se ghusl waajib nahin hota khawaah oos ke badan ka jo hissah mass kiya ho woh thandaa ho chuka ho.
3. Agar koi shakhs apne baal murde ke badan se lagaa’e ya apnaa badan murde ke baalon se lagaye ya apne baal murde ke baalon se lagaa’e to oos par ghusl waajib nahin hai.


4. Agar bachchaa paidaa ho to Ehteyaat-e-waajib ki bina par zaruri hai keh oos ki maa ghusl kare aur agar maa mar gayee ho to bachche ke liye zaruri hai baaligh hone se pahle Ehteyaat-e- waajib ki bina par ghusl kare.
5. Agar koi shakhs ek aisi mayyat ko mass kare jise teen ghusl mukammal taur par di’e jaa chuke hon to oos par ghusl waajib nahin hota Laikin agar woh teesra ghusl mukammal hone ke pahle oos ke badan ke kisi hisse ko mask are to zaruri hai keh ghusl massse mayyat kare, chaahe oos hisse ka ghusl mukammal ho chuka hoto khawaah oos hisse ko teesraa ghusl diya jaa chuka ho oos shakhs ke liye ghusl mass mayyat karna zaruri hai.
6. Agar koi diwaanaa ya naabaligh bachchaa mayyat ko mass kare to diwaane par ‘aqil hone aur bachche par baaligh hone ke b’ad ghusl mass mayyat karna zaruri hai aur agar woh ho to ooska ghusl sahi hai.
7. Agar kisi zindaah shakhs ke badan se ya kisi aise murde ke badan se jise ghusl naa ditaa gaya ho ek hissah judaa ho jaaye aur is se pahle keh judaa hone waale hisse ko ghusl diya jaaye koi shakhs Oose mass kar le to agar che oos hisse mein haddi ho ghusl masse mayyat karna zaruri hai. Han! Agar mayyat tukre tukre ho chuki ho aur koi shakhs in tamaam ya zayadah tar hisson ko mask are to oos par ghusl waajib hai.
8. Ek aisi haddi se mass karne se jise ghusl naa diya gaya ho khawaah woh murde ke badan se judaa hu’ee ho ya zaindah shakhs ke badan se, ghusl waajib nahin hai. Aur daant khawaah woh murde ke badan se judaa hu;e hon ya zindah shakhs ke badan se oon ke liye bhi yahi hukm hai.
9. Ghusl masse mayyat, ghusl janaabat ki tarah hai aur is ke b’ad wazu ki zarurat bhi nahin.
10. Agar koi shakhs kayee mayyaton ko mask are ya ek ko kayee baar mask are to ek ghusl kafee hai.
11. Jis shakhs ne mayyat ko mass karne ke b’ad ghusl naa kiya ho oos ke liye massjid mein thaharnaa, biwi se jama’ karna aur in ayat ka padhnaa jin mein sajdah waajib hai, mamnu’ nahin hai Laikin namaaz aur oos jaisi ‘aba’daat ke liye ghusl karna zaruri hai.

Comments

Visitor's