Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Qabr kusha’ee


617. Kisi moosalmaan ki qabr khodna khwoh woh bachha ho ya deewana hi kyoon na ho haraam hai. Haan agar kisi ka badan mitti mein mil kar mitti ho gaya ho to koi harj nahi hai.
618. Imamzaado,shahzaado,a’limo aur saleh logon ki qabron ko ujaadna khwoh oonhein fuat hu’e saleha saal guzar chuke hon aur oonke badan paiwand zameen ho gaye hon agar oonki behurmati hoti ho to haraam hai


619. Chand surtein aisi hain jin mein qabr kusha’ee haraam nahi hai.
(1) Jab mayyat ko ghazbi zameen par dafn kiya gaya ho aur zameen ka maalik ooske wohan rehne par raazi na ho aur qabr khodna bhi harj ka ba’es na ho warna qabr kholna kisi ke liye zaroori na hoga siwa’e gasib ke. Agar qabr kholne ke muqable mein koi ahum cheez takra’ee ho maslan mayyat ko tukde tukde karna pad raha ho to qabr kholna  qata’ee zaruri nahi balki jaayez nahi hai aur agar qabr kholna behurmati ka sabub ho to ehteyaat ki bina par jayez hi nahi hai siwa’e ooske ke mayyat ne oos zameen ko ghasb kiya ho
(2) Jab kafan ya koi aur cheez mayyat ke saath dafn ho gayi ho ghasbi ho aur ooska maalik is baat par razamand na ho keh woh qabr mein rahe aur agar khud mayyat ke maal mein se koi cheez jo oos ke waariso ko mili ho ooske saath dafn ho gayi ho aur ooske waaris is baat pe raazi na ho ke woh cheez qabr mein rahe to oos ki bhi yahi surat hai. Albatta agar marne waale ne wasiyat ki ho ke dua ya qur’an-e-majeed ya angoothi ooske saath dafn ki jaaye aur ooski wasiyat par amal karna zaroori ho to oon cheezon ko nikaalne ke liye qabr ko nahi kholaa jaa sakta. Is muqaam par bhi woh istasna jaari hai jis ka zikr pehle mawaad mein kiya gaya hai.
(3) Jab qabr ka kholna mayyat ki behurmati ka maujab na ho aur mayyat ko baghair ghusl diye ya kafan pehnaaye dafn kiya gaya ho ya pata chale ke ghusl baatil tha ya oose shara’ee ehkaam ke mutaabik kafan nahi diya gaya tha ya qabr mein qible ke rukh nahi litayaa gaya tha.
(4) Jab koi aisa haq saabit karne ke liye jo qabr kooshaayi se zayada ahum ho mayyat ka badan dekhna zaroori ho.
(5) Jab mayyat ko aisi jagah dafn kiya gaya ho jahan ooski behrmati hoti ho maslan oose kafiron ke qabristan mein ya oos jagah dafn kiya gaya ho ya jahan ghalaazat aur kudha karkat phainka jaata ho.
(6) Jab kisi aisi shar’ee maqsad ke liye qabr kholi jaaye jis ki ehmiyat qabr kholne se zayada ho maslan-kisi zinda bacche ko aisi haamela aurat ke pait se nikaalna matloob ho jise daf’an kar diya gaya ho.
(7) Jab yeh khauf ho ke darinde mayyat ko cheer phadh dalegaa ya sailaab oose bahaa le jayegaa ya dooshman oose nikaal legaa.
(8) Mayyat ne wasiyat ki ho keh oose dafn karne se pehle muqaddas muqamaat ki taraf moontaqil kiyaa jaaye aur oon muqamat ki moontaqil karne mein koi rukaawat bhi na ho laikin jaan bhoojh kar,ya laa ilmi ,ya bhoole se kisi doosre jagah dafna diya jaaye to agar behurmati na hu’ee ho aur koi rukawat bhi na ho to is surat mein qabr khol kar oose na muqaddoos muqaam ki taraf le jaa sakte hain, balkeh mazkooraah surat mein to qabr ko kholna aur mayyat ko moontaqil karna waajib hai-

Comments

Visitor's