Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Woh cheezein jin ke liye wuzu karna zaruri hai


1. Chhe cheezon ke liye wuzu karna waajib hai.
1) Namaaz mayyat ke a’lawa waajib namaazon ke liye. Mustahab namaazon mein wazu shart sehat hai.
2) Bhoole hu’e sajde aur tashahud ko anjaam den eke liye jabkeh in ke aur namaaz ke darmayan koi hadas is se sarzad huaa ho maslan oosne peshaab kiya ho Laikin sajdah sahu ke liye wuzu karna waajib nahin.
3) Khaan’e k’abah ke waajib tauwaaf ke liye Haj aur Umraah ka juz hota hai.
4) Wuzu karne ki nazr ki ho (mannat maani ho) ya ‘had kiya ho ya qasam khaa’ee ho.
5) Jab kisi ne mannat maanee ho keh maslan Qur’aan Majeedka bhosah legaa.
6) Najis shudaa Qur’aan Majeed ko dhone ke liye ya baitul khulaa waghairah se nikalne ke liye jabkeh mat’alaqah shakhs majboor ho keh is maqsad ke liye apnaa haath ya badan ka koi hissah Qur’aan Majeed ke alfaaz se mass kare Laikin wuzu mein sirf hone walaa vaqt agar Qur’aan Majeed ko dhone ya ise baitul khoolaa se nikalne mein itni taakheer ka baa’s hi jis se kalaam Allah ki behurmatee hotee ho to zaroori hai keh woh wuzu kiye


baghair Qur’aan Majeed ko baitul khoolaa’ waghairah se nikalne ya agar najis ho gaya ho to ise dho daale.
2. Jo shakhs bawuzu ho oos ke liye Qur’aan Majeed ke alfaaz ko mass karna y’ani apne badan ka koi hissah Qur’aan Majid ke alfaaz se lagaanaa haraam hai laikin agar Qur’aan Majeedka faarsee zabaan ya kisi aur zabaan mein tarjoomah kiya gaya ho to Oose mass karne mein koi harj nahin.
3. Bachche ya deewaane ko Qur’aan Majeed ke alfaaz ko mass karne se roknaa waajib nahin Laikin agar in ke aisaa karne se Qur’aan Majeedki behoormatee hotee ho to anhein roknaa zaruri hai.
4. Jo shakhs baawuzu naa ho ooske liye Allah t’alaa ke naamo aur oon sifion ko mass karna jo sirf Oosi ke liye makhsoos hain khwoh kisi zabaan mein likhee hon Ehteyaat-e-waajib ki bina par haraam hai aur behtar yeh hai keh Rasool Akram Sallalaho Alaihe Wa ‘Alehi Wasallam aur A’iemah Tauhereen Allaihemus Salaam aur Hazrat Fatimatuz Zehraa Alaihmus Salaam ke asmaa’e mubaarakah ko bhi mass naa kare.
5. Wuzu jab bhi kiya jaaye, chaahe namaaz ka vaqt ‘ane se kuchh pahle, kafee dair pahle ya namaaz ka vaqt ‘a jaane ke b’ad, agar “Qurbatan Illallah” ki niyyat se kiya jaaye to sahee hai. Yeh zaruri nahin hai keh waajib ya mustahab hone ki niyyat ki jaaye balkeh agar galtee se wajoob ki niyyat kar le aur b’ad mein m’aloom ho keh abhi wuzu waajib nahin huaa thaa to bhi sahee hai.
6. Agar kisi ko yaqeen ho keh (namaaz ka) vaqt daakhil ho chuka hai aur waajib wuzu ki niyyat kare Laikin wuzu karne ke b’ad Oose pataa chale keh abhi vaqt daakhil nahin huaa thaa to ooska wuzu sahee hai.
7. Mustahab hai keh agar insaan baawuzu ho tab bhi har namaaz ke liye dobaarah wuzu kare. B’az fuqhaa’ Rizwaan allah T’alaa Alaihim ne farmaya hai keh mayyat ki namaaz ke liye, qabarstan jaane ke liye, massjid ya a’emah Alaihmus salaam ke haram mein jaane ke liye, Qur’aan Majeed saath rakhne, ise padhne, likhne aur ooska haasheyah mass karne ke liye aur sone ke liye wuzu karna mustahab hai. Laikin mazkurah mawaarid mein wuzu ka mustahab honaa saabit nahin hai, albattah agar koi shakhs mustahab hone ke ihtemaal ke saath wuzu kare to ooska wuzu sahee hai aur oos wuzu ke saath har woh kam kar saktaa hai jo baawuzu ho kar karna zaruri hai. Maslan oos wuzu ke saath namaaz padh saktaa hai.

Comments

Visitor's