617. Sazaawaar hai keh mayyat ke daf’an ki pehli raat ko oos ke liye do rak’at namaaz-e – wehshat padhi jaaye aur ooske phadne ka tariqa yeh hai keh pehli rak’at mein surah-e-hamd ke b’ad ek daf’a’a aaytal kursi aur doosri rak’at mein surah-e-hamd ke b’ad das daf’e sura-e-qadr phada jaaye aur salaam-e-namaaz ke b’ad kaha jaaye “ Allahumma salle a’la muhammad wa a’le Muhammad waba’s sawabaha ila qabr falan- aur lafz-e-falan ke bajaaye mayyat ka naam liya jaaye.
618. Namaaz-e-wehshat mayyat ke dafn ke b’ad pehli raat ko kisi vaqt bhi phadi jaa sakti hai laikin behtar yeh hai keh awwal-e-shab mein namaaz-e-isha ke b’ad padhi jaaye.
619. Agar mayyat ko kisi door sheher mein le jaana maqsood ho ya kisi aur wajah se ooske dafn mein taakheer ho jaaye to namaaz-e-wehshat dafn ki pehli raat tak multavi kar dena chahi’e.
Comments