Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Tarteebee Ghusl


1. Tarteebee ghusl mein Ehteyaat-e-laazim ki bina par ghusl ki niyyat ke saath pahle pooraa sar wa garden aur b’ad mein badan dhonaa zaroori hai aur behtar yeh hai keh badan ko pahle daa’en taraf se aur b’ad mein baa’en taraf se dho’e. Teeno a’zaa’ mein se har ek ko ghusl ki niyyat se paani ke sndar harkat dene se teebee ghusl ka sahee honaa ishkal se khaalee nahin hai. Aur Ehteyaat oos par iktefaa naa karne mein hai aur agar woh shakhs jaan bhoojh kar ya bhool kar ya massa’le naa jaanne ki wajah se badan ko sar se pahle dho’e to oos ka ghusl baatil hai.


2. Agar koi shakhs badan ko sar se pahle dho’e to is ke liye ghusl ka a’aada karna zaroori nahin balkeh badan ko dobaarah dho le to oos ka ghusl sahee ho jaayegaa.
3. Agar kisi shakhs ko is baat ka yaqeen naa ho keh oos ne dono hisson sar garden aur badan ko mukammal taur par dho liya hai to is baat ka yaqeen karne ke liye jis hisse ko dho’e oos ke saath dusre hisse ki kuchh miqdaar bhi dhonaa zaruri hai.
4. Agar kisi shakhs ko ghusl ke b’ad pataa chale keh badan ka kuchh hissah dhulne se baaqee rah gaya hai Laikin yeh i’lm naa ho keh woh kaoon saa hissah hai to sar ka dobaarah dhonaa zaruri nahin aur badan ka sirf woh hissah dhonaa zaruri hai jis ke naa dho’e jaane ke baare mein ihtemaal paidaa huaa hai.
5. Agar kisi ko ghusl ke b’ad pataa chale keh oos ne badan ka kuchh hissah nahin dhoea to agar woh baa’en taraf ho to sirf Oosi miqdaar dho lenaa kafee hai aur agar daa’en tarf ho to Ehteyaat-e-mustahab yeh hai keh itnee miqdaar dhone ke b’ad baa’en taraf ko dobaarah dho;e aur agar sar aur gardan dhulne se rah gayee ho to Ehteyaat-e-waajib ki bina par zaroori hai keh itni miqdaar dhone ke b’ad dobaarah badan ko dho’e.
6. Agar kisi shakhs ko ghusl mukammal hone se pahle daa’en ya baa’en taraf ka kuchh hissah dho’e jaane ke baare mein shak guzre to oos ke liye zaruri hai keh itni miqdaar dho’e aur agar ise sar ya gardan ka kuchh hissah dho’e jaane ke baare mein shak ho to Ehteyaat-e-laazim ki bina par sar aur gardan dhone ke b’ad badan ko dobaarah dhonaa zaruri hai.

Comments

Visitor's