Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Bartano ke Ehkaam


1. Jo bartan kutte, soor ya murdaar ke chamre se banaya jaaye is mein kisi cheez ka khaanaa peenaa jabkeh taree is ki najaasat ka maujub banee ho, haraam hai aur is bartan ko wuzu aur ghusl aur aise dusre kamo mein iste’maal nahin karna chahiye jinhein paak cheez se anjaam


denaa zaruri ho aur Ehteyaat-e-mustahab yeh hai keh kutte, soor aur murdaar ke chamre ko khwaah woh bartan ki shakal mein na bhi ho iste’maal na kiya jaaye.
2. Sone aur chaandee ke bartano mein khanaa peenaa balkeh Ehteyaat-e-waajib ki bina par in ko kisi bhi tarah iste’maal karna haraam hai Laikin in se kamrah sajaane ya anhen apne paas rakhne mein koi harj nahin goea in ka tark kar denaa ahoot hai aur sajaawat ya qabze mein rakhne ke liye sone aur chaandi ke bartan banaane aur in ki khareed wa farokht karne ka bhi yahee hukm hai.
3. Ihtekan (sheeshe ka chhota saa jis mein qahwoh peete hain) ka holder jo sone ya chaandi ke bartan ka hukm rakhtaa hai aur agar ise bartan na kahaa jaaye to is ke ihte’maal mein koi harj nahin.
4. Aise bartano ke iate’maal mein koi harj nahin jin par sone ya chaandi ka paani charhaya gaya ho.
5. Agar kisi dhaat ko chaandi ya sone mein makhloot kar ke bartan banaa’e jaayen aur woh dhaat itnee zayadaah miqdaar mein ho keh is bartan ko sone ya chaandi ka bartan na kahaa jaaye to is ke iste’maalmein koi harj nahin.
6. Agar ghazaa sone ya chaandi ke bartan mein rakhee ho aur koi shakhs ise dusre bartan mein oondail le to agar dusra bartan a‘am aur par pahle bartan mein khaane ka zariya shumaar na ho to aisaa karne mein koi harj nahin hai.
7. Hooqqe ke chillum ka soorakhoon walaa dhaknaa, talwaar, chharee ya chaakoo ka mayaan aur Qur’an Majeedrakhne ka dabbah agar sone ya chaandi se bane hon to koi harj nahin taahum Ehteyaat-e-mustahab yeh hai keh sone chaandi ki banee hu’ee ‘trdaanee, surmehdaanee aur afeemdaanee ihte’maal nah ki jaayen.
8. Majbooree ki haalat mein sone chaandi ke bartano mein intaa khaane peene mein koi harj nahin jis se majbooree khatam ho jaaye Laikin is se zayadaa khaanaa peenaa jaayez nahin.
9. Aisaa bartan iste’maal karne mein koi harj nahin jis ke baare mein m’aloom nah ho keh yeh sone ya chaandi ka hai ya kisi aur cheez se banaa huaa hai.

Comments

Visitor's