1. Irtemaasee wuzu yeh hai keh insaan chehre aur haathon ko wuzu ki niyyat se paani mein doobo de. Bazahir irtemaasee tareeqe se dhule hu’e haath ki taree se massah karne mein koi harj nahin hai agar che aisaa karna khilaaf Ehteyaat hai.
2. Irtemaasee wuzu mein bhi chehrah aur haath uupar se niche ki taraf dhone chaahiyen. Lehaaza jab koi shakhs wuzu ki niyyat se chehrah aur haath paani mein doobo’e to zaruri hai keh chehrae peshaanee ki taraf se aur haath kohnee ki taraf se dubo’e.
3. Agar koi shakhs b’az a’zaa ka wuzu irtemaasee tareeqe se aur ba’z ka ghair irtemaasee tareeqe se kare to koi harj nahin.
Comments