1. Ghusl janaabat waajib namaaz padhne ke liye aur aisi dusri a’ba’daat ke liye waajib ho jaataa hai Laikin namaaj mayyat, sajdah sahoo, sajdah shukr aur Qur’aan Majeed ke waajib sajdon ke liye ghusl janaabat zaruri nahin hai.
2. Yeh zaruri nahin keh ghusl ke vaqt niyyat kare keh waajib ghusl kar rahaa hai balkeh fawat Qurbatoon Illallah y’anee bargaah Ilaahee mein Du’a ‘ajazee ke iraade se ghusl kare to kafee hai.
3. Agar kisi shakhs ko yaqeen ho keh namaaz ka vaqt ho gaya hai aur ghusl waajib kar le Laikin b’ad mein pataa chale keh oos ne vaqt se pahle ghusl kar liya hai to ooska ghusl sahee hai.
4. Ghusl janaabat do tareeqon se anjaam diya jaa saktaa hai : Tarteebee aur Irtemaasee.
Comments