Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Hunoot ke Ehkaam


1. Ghusl dene ke b’aad waajib hai keh mayyat ko hunoot kiya jaaye y’ani ooski peshaani, dono haathelion, dono ghutno aur dono p’aaon ke anguthon par kafur is tarah lagaa’en keh kuchh kafur oos par baaqi rahe chaahe ise maalaya nah bhi gaya ho aur mutshab hai keh mayyat ki naak par bhi kafur malaa jaaye. Zaruri hai keh kafur peesaa huaa, tazaa, paak aur mubaah (ghair ghasbi) ho aur agar puraanaa hone ki wajah se ooski khoosboo zaa’el ho gayee ho to kafi nahin.
2. Ehteyaat-e-mustahab yeh hai keh kafur pahle mayyat ki peshaani par malaa jaaye Laikin dusre maqaamaat par milne mein tarteeb zaruri nahin hai.
3. Behtar yeh hai keh mayyat ko kafan pehnaane se pahle hunoot kiya jaaye. Agar che kafan pehnaane ke dauraan ya is ke baa’d bhi hunoot Karen to koi harj nahin hai.
4. Agar koi aisaa shakhs mar jaaye jis ne Haj ya Umrah ke liye ehraam baandh rakhaa ho to Oose hunoot karna jaayez nahin hai magar in do suraton mein jin ka zikr mass’le 542 mein guzar chuka hai.
5. A’tkaf mein baithhe hu’e shakhs aur aisi aurat jis ka shauhar mar gaya ho aur abhi ooski i‘ddat baaqi ho agarche khoosboo lagaanaa in ke liye haraam hai Laikin agar in mein se koi mar jaaye to hunoot karna waajib hai.
6. Ehteyaat-e-mustahab hai keh mayyat ko mushk, ghabar, a’aud aur dusri khoosbooein nah lagaa’ein aur inhein kafur ke saath bhi nah milaya jaaye.
7. Mustahab yeh hai keh sayyad ul shohdaa Imam Hoosain Ala’ih salaam ki qabr mubaarak ki mitti ki kuchh miqdaar kafur mein milaa li jaaye laikin is kafur ko aOose maqaamaat par nahin lagaanaa chaahiye jahan lagaane se khaak shafaa ki behurmati ho aur yeh bhi zaruri hai keh khaak shafaa itni zayadah nah ho keh jab woh kafur ke saath mil jaaye to Oose kafu nah kahaa jaa sake.
8. Agar kafur nah mil sake ya faqat ghusl ke liye kafi ho to hunoot karna zaruri nahin aur agar ghusl ki zarurat se zayadah ho Laikin tamaam saat a’zaa’ ke liye kafi nah ho to isteyat mustahab ki bina par chaahiye keh pahle peshaani par aur agar bachch jaaye to dusre maqaamaat par malaa jaaye.
9. Mustahab hai keh do tar wa tazaah tehniaan mayyat ke saath qabr mein rakhi jaaye.

Comments

Visitor's