Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Ehkaam Tahaarat | Mutlaq aur Muzaaf paani


1. Paani ya mutlaq hota hai ya muzaaf. Muzaaf woh paani hai jo kisi cheez se hasil kiya jaaye. Maslan tarbooz ka paani (naariyal ka paani) gulaab ka araq (waighairah). Oos paani ko bhi muzaaf kahte hain jo kisi dusri cheez se aaloodah ho maslan gadla paani jo is had tak matyala ho keh phir oose paani naa kahaa ja sake. In ke alaawoh jo paani ho Oose aabe muzaaf kahte hain aur is ki panch qismein hain :
(1) Kurr paani (2) Qaleel paani (3) Jaari paani (4) Barish ka paani (5) Koowein ka paani.

Kurr paani

2. Kurr woh paani hai jis ke bartan ki goonjaish 36 cubic balish (ek balish ki lambai taqreeban22 centimeter hoti hai) ho jo taqriban 384 litre hota hai.
3. Agar koi cheez ain najis ho maslan peshab ya khoon ya woh cheez jo najis ho gayi ho jaise keh najis lebas aise paani se to paani najis ho jaayega Laikin agar aisi koi tabdili waqae naa ho to najis nahin hoga.
4. Agar kurr paani ki boo, rang ya zaa’eqa najaasat ke ‘a’lawa kisi aur cheez se tabdeel ho jaaye to woh paani najis nahin hoga.
5. Agar koi ain najaasat maslan khoon aise paani mein jakar gire jis ki maqdar ek kurr se zayada ho aur is ki boo, rang ya zaa’eqa tabdeel kar d to is surat mein agar paani ke is hisse ki miqdar jis mein koi tabdili waqa’ nahin hue ek kurr se kam ho to saraa paani najis ho jaayega Laikin agar is ki miqdar ek kurr ya is se zayada ho to sirf woh hissaah najis hoga jis ki boo, rang ya zaa’eqa tabdeel hua hai.
6. Agar fawware ka paani aise paani se mutasil ho jis ki miqdar ek kurr ke barabar ho to fawware ka paani najis paani ko paak kar deta hai. Laikin agar najis paani fawware ka paani qattaron ki surat mein gir to ise paak nahin karta. Albatta agar fawware ke samne koi cheez rakh di jaaye jis ke naatije mein is ka paani qatra qatra hone se pehle najis paani se mutasil ho jaaye to najis paani ko paak kar deta hai aur zaruri yeh hai keh fawware ka paani najis paani se makhloot ho jaaye.
7. Agar kisi najis cheez ko kurr paani se mutasil naal ke niche dhoen to agar is cheez se girne wala paani bhi kurr se mutasil ho aur is mein najaasat ki boo, rang ya zaa’eqa paida naa ho aur naa hi is mein ain najaasat ki aamejish ho to woh paani paak hai.


8. Agar kurr paani ka kuch hissaah jam kar barf ban jaaye aur kuch hissaah paani ki shakl mein baaqi bache jis ki miqdarek kurr se kam ho job hi koi najaasat is paani ko chhuegi woh najis ho jaayega aur barf pighalne par jo paani banega woh bhi najis hoga.
9. Agar paani ki miqdar ek kurr ke barabar ho aur b’ad mein shak ho ke haya ab yeh kurr se kam ho chukka hai ya nahin is ki haishiyat ek kurr paani hi ki hogi y’ani who najaasat ko bhi paak karega aur najaasat ke itsal se najis bhi nahin hoga. Is ke bar aks jo paani ek kurr kam tha is ke mata’liq shak ho keh aab is ki miqdar ek kurr ke barabar ho gayi hai ya nahin to ise ek kurr se kam hi samjha jaaye.
10. paani ka ek kurr ke barabar honaa do tareeqe se sabit ho sakta hai. (1) Insaan ko is baare mein khud yaqeen ya itminaan ho. (2) Do ‘adil mard is baare mein khabar dein. Albata agr ek ‘adil ya qabil ‘itemad shakhṣ ya woh shakhṣ jis ke itkhteyar mein paani hai agar paani ke kurr hone ki itla’ de, jabkeh is khabar par itminaan naa aa sake to is par bharosa karna mahal ishkal hai.

Qaleel paani

11. Aise paani ke qaleel paani kahte hain jo zameen se naa uble aur jis ki miqdar ek kurr se kam ho.
12. Jab qaleel paani kisi najis cheez par gire ya koi najis cheez is par gire to paani najis ho jaayega.
Albatta agar paani najis cheez par zor se gire to is ka jitnaa hissaah najis cheez se milega najis ho jaayega Laikin baaqi paak hoga.
13. Jo qaleel paani kisi cheez par ‘en najaasat door karne ke liye dala jaaye to in maqaamaat par jahan najis cheez ek bar dhone se paak nahin hoti, woh najaasat se juda hone ke b’ad najis ho jata hai aur isi tarah woh qaleel paani jo ‘en najaasat kea lag ho jane ke b’sd najis cheez ko paak karne ke liye is par dala jaaye is se juda ho jane ke b’ad banaabar Ehteyaat-e-laazim najis hai.
14. Jis qaleel paani se peshaab ya paakhane ke makharij dhoe jaayen woh agar kisi cheez ko lag jaaye to panch sharaet ke sath ise najis nahin karega.
(1) Pani mein najaasat ki boo, rang ya zaa’eqa paida naa hua ho. (2) Bahar se koi najaasat is se naa aa mili ho. (3) Peshaab ya paakhane ke sath koi aur najaasat maslan khoon kharij naa hua ho. (4) Paakhane ke zarraat paani mein dhikayee naa dein. (5) Peshaab ya paakhane ke kharij ke aiteraf mein ma’mooli se zayada naa lagi ho.

- Jaari paani

Jaari paani woh hota hai (1) Jis ka ek qudrati manba’ ho. (2) Jo bah raha ho, chhahe ise kisi maznoo’ee tareeqe se bahaya jar raha ho. (3) Is mein kisi had tak hi sahi, tasalsal ho aur yeh zaruri nahin keh woh paani qudrati zakhire se mutasil hi ho, Lehaaza agar qudrati tareeqe se woh paani ke zakhire se juda ho maslan agar koi uuupar se qatron ki surat mein tapak raha ho to niche gir kar dobara bahne ki surat mein ise jaari hi manaa jaayega. Han! Agar koi cheez paani ke zakhire se itsaal mein rukawat ban jaaye maslan paani ke bahao ya abaal mein rukawat bane ya zakhire se itsaal hi tod de to baaqi mandah paani ko jaari nahin manaa jaayega, chhahe woh paani bah bhi raha ho.
15. Jaari paani agar che kurr se kam hi kyoon naa ho najaasat ka milne se tab tak najis nahin hota jab tak najaasat ki wajah se is ki boo, rang ya zaa’eqa badal naa jaaye.
16. Agar najaasat jaari paani se aa mile to iski itni miqdar jis ki boo, rang ya zaa’eqa najaasat ki wjah se badal jaaye najis hai. Albatta is paani ka woh hissah jo chasme se mutasil ho paak hai khawa is ki miqdar kurr se kam hi kyoon naa ho. Nadi ki dusri taraf ka paani agar ek kurr jitnaa


ho ya is paani ke zariye jis mein ( boo, rang ya zaa’eqe ki ) koi tabdili waq’e nahin hue chasme ki taraf ke paani se mila hua ho to paak hai warnaa najis hai.
17. Agar kisi chasme ka paani jaari naa ho Laikin surat haal yeh ho keh jab is mein se paani nikal lein to dobarah is ka paani ubal padhta ho to woh paani, jaari paani ka hukm nahin rakhta y’ani agar najaasat is se aa mile aur is ki miqdar kurr se kam ho to najis ho jata hai.
18. Nadi ya nahar ke kanaare ka paani jo sakin ho aur jaari paani se mutasil ho, jaari paani ka hukm nahin rakhta.
19. Agar ek aisa chasma ho jo mishaal ke taur par sardiyon mein ubal parta ho Laikin garmiyon mein khoosk par jata ho oosi vaqt jaari paani ke hukm mein aayega jab is ka paani ubal padhta ho.
20. Agar kisi ( turki ya irani tarz ke ) hamaam ke chhote hauz ka paani ek kurr se kam ho Laikin woh aise makhzan se mutasil ho jis ka paani hauz ke paani se mil kar ek kurr ban jata ho to jab tak najaasat ke mil jane se is ki boo, rang aur zaa’eqa tabdeel naa ho jaaye woh najis nahin hota.
21. Hamaam aur building ke nalkon ka paani jo tutiyon aur shaawaron ke zariye bahta hai agar is makhzan ke paani se mil kar jo in nalkon se mutasil ho ek kurr ke barabar ho jaaye to nalkon ka paani bhi kurr paani ke hukm mein shamil hoga.
22. Jo paani zameen par bah raha ho Laikin zameen se ubal naa raha ho agar woh ek kurr se kam ho aur is mein najaasat mil jaaye to woh najis ho jaayega Laikin agar woh paani tezi se bah raha ho aur mishal ke taur par najaasat is ke nichle hisse ko lage to is ka uupar wala hissaah najis nahin hoga.

- Barish ka paani

23. Jo cheez najis ho aur ai najaasat is mein naa ho is par jahan jahan ek bar barish ka paani pohoonch jaaye paak ho jati hai. Laikin agar badan ya lebaas najis ho jaaye to binabar Ehteyaat in par dobarah barih ka paani pohoonchanaa zaruri hai, Albattah qaleen aur lebaas waghairah ka nichodhnaa zaruri nahin hai. Laikin halki si boonda baandi kafi nahin balkeh itni barish lazmi hai keh log kahen keh barish ho rahi hai.
24. Agar barish ka paani a’in najis par baares aur baras kar dusri jagah pohoonch jaaye Laikin a’in najaasat is mein shamil naa ho aur najaasat ki boo, rang ya zaa’eqa bhi is mein paida naa hua ho to woh paani paak hai. Pas agar barish ka paani khoon par barasne ke b’ad reese aur in mein khoon ke zarraat shamil hon ya khoon ki boo, rang ya zaa’eqa paida ho gaya ho to woh paani najis hoga.
25. Agar makan ke androonee ya uupari chat par a’in najaasat maujood ho to barish ke dauraan jo paani najaasat ko chhoo kar androonee chat se tapke ya parnaale se gire woh paak hai. Laikin jab barish tham jaaye aur yeh baat ilm mein aa jaaye keh ab jo paani gir raha hai woh kisi najaasat ko chhoo kar aa raha hai to woh paani najis hoga.

26. Jis najis zameen par barish baras jaaye woh paak ho jati hai aur agar barish ka paani zameen par bahne lage aur barish ke dauraan hi chat ke niche ksisi najis maqaam tak ja pohoonche to ise bhi paak kar dega.
27. Najis mitti ke tamaam ajzaa tak agar barish ka paani pohoonch jaaye to woh paak ho jaayegi, bashart yeh hai keh insaan ko yeh yaqeen naa ho jaaye keh mitti se milne ki wajah se barish ka paani muzaaf ho chuka hai.


28. Agar barish ka paani ek jagah jama’ ho jaaye khawohek kurr se kam hi kyoon naa ho barish barasne ke vaqt agar koi najis cheez is mein dhoee jaaye aur paani najaasat ki boo, rang ya zaa’eqa qabool naa kare to woh najis cheez paak ho jaayegi.
29. Agar najis zameen par bichhe hue paak qaaleen waghairah par barish baares aur is ka paani barsne ke vaqt qaleen se najis zameen par pohoonch jaaye to qaleen bhi najis nahin hoga aur zameen bhi paak ho jaayegi.

koonwe ka paani

30. Ek aise koonwe ka paani jo zameen se ubalta ho agar che miqdar mein ek kurr se kam ho najaasat padhne se is vaqt tak najis nahin hoga jab tak is najaasat se is ki boo, rang ya zaa’eqa badal naa jaaye.
31. Agar koi najaasat koonwe mein gir jaaye aur is ke paani ki boo, rang ya zaa’eqe ko tabdeel kar de to jab koonwe ke paani mein paida shuda tabdeeli ho jaaye to paani paak ho jaayega. Albattah Ehteyaat-e- wajib ki bina par is paani ke paak hone ki shart yeh hai keh yeh paani koonwe se ubalne waale paani mein makhloot ho jaaye.

Visitor's