682. Wuzu ya ghusl ke badle kiyeh jaane waale tayyamum pe teen cheezein waajib hain:
1) Dono haatheliyon ko aisi cheez par maarna ya rakhna jis par tayyamum karna sahi ho- ehteyaat-e-laazim ki bina par dono haath ek saath zameen par maarna ya rakhna chahiyeh.
2) Dono haatheliyon ko poori peshaani par sar ke baal ugne ki jagah se abru aur naak ke baa’layi hisse tak pherna aur isi tarah ehteyaat-e-waajib ki bina par peshaani ki dono taraf dono haatheliyon ka pherna ehteyaat-e-mustahab hai ke haath abru ke uupar bhi phera jaaye.
3) Ba’en haatheli ko da’en haath ki tamaam phust par aur oos ke ba’ad da’en haatheli ko baayeh haath ki tamaam pusht par pherna.
Zaruri hai ke tayyamum qurbatan illahah ki niyyaat se anjaam de jaise ke wuzu ke massa’el mein bataya jaa chuka hai-
683. Ehteyaat-e mustahab yehh hai ke tayyamum khwoha wuzu ke badle ho ya ghusl ke badle oose tarteeb se kiya jaaye yaa’ni ek daf’a haath zameen par maara jaaye aur peshaani aur haathon ki pusht par phera jaaye phir ek daf’a zameen par maara jaaye aur haathon ki pusht ka massah kiya jaaye.
Comments