617. Islami shari’at mein bohut se ghusl mustahab hain jin mein se kuch yeh hain:
(1) Ghusl-e-jummah - Iska vaqt subah ki azaan ke b’ad se suraj ghuroob hone tak hai aur behtar yeh hai ke zohur ke qareeb ise bajaa layaa jaaye aur agar koi shakhs ise zohur tak ise anjaam na de to behtar hai ke adaa aur qaza ki niyyat ke baghair ghuroob-e-aaftaab tak bajaa laaye aur agar jumaah ke din ghusl kare to mustahab hai ke hafte ke din subah se ghuroob-e –aaftaab tak ooski qaza baja laaye-jo shakhs jaanta ho ke oose jumme ke din paani mayessar na hoga to woh qaza ki niyyat se jumeraat ke din ya shab-e-jumma mein ghusl anjaam de sakta hai aur mustahab hai insaan ghusl-ejumma karte vaqt yeh dua
padhe: “Ash hado al la ilaha illalaho wohadu la sharka lahu wa anna Muhammad, a’bdahu wa rasulahu Allahumma sale a’la muhammadiwn wa aale muhammadiwn waj a’lni minat tawwabina waj a’lni minal mutahhereen”.
(2 to 7) Ramzaan ki 1st,7th,19th,21st 23rd, aur 24th raat ka ghusl .
(8to 9) Eid-ul-fitr aur Eid-ul –qurbaan ke din ka ghusl - Is ka vaqt subah ki azaan se suraj ghuroob hone tak hai aur behtar hai keh ye ghusl Eid ki namaaz se pehle kar liya jaaye (10 to 11) Zil-hajj ke 8th aur 9th din ka ghusl aut behtar ye hai ke nave din ka ghusl zohur ke nazdeek kiya jaaye-
(12) Oos shakhs ka ghusl jisne apne badan ka koi hissa aisi mayyat ke badan se mass kiya ho jise ghusl diya gaya ho-
(13) Ehraam ka ghusl-
(14) Haram-e-makkah mein daakhil hone ka ghusl-
(15) Makkah-e-muqarrema mein daakhil hone ka ghusl-
(16) Khaana-e-k’aba ki ziyaarat ka ghusl-
(17) K’aba mein daakhil hone ka ghusl-
(18) Zibah aur nehr ke liye ghusl-
(19) Baal moondwaane ke liye ghusl-
(20) Haram-e-madina mein dakhil hone ka ghusl-
(21) Madinah-e-moonawwarah mein daakhil hone ka ghusl-
(22) Massjid-e-nabavi mein daakhil hone ka ghusl
(23) Rasoole akram (saws) ki qabr-e-mutahhir se wida hone ka ghusl-
(24) Dashman ke saath mubahela karne ka ghusl-
(25) Navza’ed bacche ka ghusl-
(26) Istekhaara karne ka ghusl-
(27) Talab-e-baaraan ka ghusl-
618. Fuqha ne mustahab ghuslon ke baab mein bohut se ghuslon ka zikr farmaya hai jin mein se chand ghusl yehh hain:
(1) Maah-e-ramzaan ke tamaam taao raaton ka ghusl aur ooski aakhri dahaayi ki tamaam raaton ka ghusl aur ooski 23th raat ke aakhri hisse mein doosra ghusl.
(2) Maah-e-zilhajj ke 24th din ka ghusl
(3) Eid-e-navroz ke din aur 15th shabaan aur 9th aur 17th rabi-ul-awwal aur zil qadha ki 25th ka ghusl.
(4) Oos aurat ka ghusl jisne apne shauhar ke alawa kisi aur ke liye khoosboo istemaal ki ho
(5) Oos shakhs ka ghusl jo massti ki haalat mein ho gaya ho.
(6) Oos shakhs ka ghusl jo kisi sooli chade insaan ko dekhne gaya ho aur oose dekha bhi ho laikin agar ittefaqan yaa majboori ki haalat mein nazar gayi ho yaa misaal ke tor pe agar shahadat dene gaya ho to ghusl mustahab nahi hai
(7) Door ya nazdeek se massoomeen (a.s) ki ziyarat ke liye ghusl- In mein se kisi ghusl ka bhi mustahab hona sabit nahin aur jo shakhs bhi in mein se koi ghusl anjaam dena chahe zaruri hai ke raj'a ki niyyat se anjaam de.
619. Oon mustahab ghuslon ke saath jin ka zikr massael no.634 mein kiya gaya hai, insaan aise kaam maslan namaaz anjaam de sakta hai jin ke liye wazu laazim hai(y’ani wazu karna zaruri nahi hai) laikin jo ghusl ba-taur raj’a kiyeh jaayen maslan woh ghusl jin ka tazkerah massla no.635 mei kiya gaya, wazu ke liye kifaayat nahi karte, (y’ani saath saath wazu bhi karna zaruri hai)
620. Agar kayi mustahab ghusl kisi shakhs ke zimme ho woh sab ki niyyat kar ke ek ghusl kar le to kaafi hai. Han! Agar ghusl mukallif ke kisi ki wajah se mustahab hua ho, massalan aise shakhs ka ghusl jis ne apne badan ko koi hissa kisi aisi mayyat se mass kiya ho jis ko ghusl diya ja chukka ho, to aisi surat mein chand mukhtalif wajuhaat ki bina par mustahab hone waale ghuslon ke liya ek ghusl par iktefa karna mahel ashkal hai.
Comments