617. Mustahab hai keh qabr ko ek mutaawastah insaan ke qad ke lag bagh khodein aur mayyat ko nazdeek tareen qabarstaan mein daf’an karein ya siaa is ke keh jo qabarstaan door ho woh kisi wajah se bahtar ho maslan wohaan log daf’an kiye gaye hon ya zayadah log wohaan faatehaa padhne jaate hon. Yeh bhi mustahab hai keh janaazah qabr se chand gaz door zameen par rakh dein aur teen daf’aa’ thodhaa thodhaa karke qabr ke nazdeek le jaayein aur har daf’aa’ zameen par rakhein aur phir uthhaa lein aur chauthhi daf’aa’ qabr mein utaar dein aur agar mayyat mard ho to tessri daf’aa’ zameen par is tarah rakhein keh ooska sar qabr ki nichli tarf ho sur chauthhi daf’aa’ sar ki taraf se qabr mein utaar dein aur agar mayyat aurat ki ho teesri daf’aa’ Oose qabr ki qible ki taraf rakhein aur pehlu ki taraf se qabr mein utaar dein aur qabr mein utaarte vaqt ek kapdhaa qabr ke uupar taan lein. Yeh bhi mustahab hai keh janazah bade aaram ke saath taboot se nikalein aur qabr mein dakhil Karen aur woh du’aen jinhein padne ke liye kaha gaya hai daf’an karne se pahle aur daf’an karte vaqt padein aur mayyat ko qabr mein rakhne ke b’ad oos ke kafan ki graham khol de aur oos ka rukhsaar zameen par rakh den aur oos ke sar ke niche mitti ka takiyah bana dein aur oos ki peethh ke pichhe kachchi eetein ya dhele rakh dein takeh
mayyat chit na ho jaye aur oos se peshtar qabr band Karen daayaan haath mayyat ke daaen kandhe par marein aur bayaan haath zor se mayyat ke baayen kandhe par rakhen aur moonh oos ke kaan ke qareeb le jayen aur oose zor se harkat dein aur teen daf’a kahen : Isma 'ifham ya falan ibn falan- aur falan ibn falan ki jagah mayyat ka aur oos ke baap ka naam lein. Maslan agar oos ka naam moosa aur oos ke baap ka naam imraan ho to teen daf’a kahen: Isma 'ifham ya moosab na I’mraan. Is ke b’ad kahen : “Hal anta 'alal 'ahdil lazi farqtana 'alayhi min shahadati an la ilaha illal lahu wohdahu la sharika lah wa anna Muhammadan sallal lahu 'alayhi wa Alihi 'abduhu wa Rasuluhu wa sayyidoon nabiyyina wa khatamul mursalina wa anna 'Aliyyan Amirul mu'minina wa sayyidul wasiyyina wa imamu nif tarazallahu ta'tahu 'alal 'alamina wa annal Hasana wal Husayna wa 'Aliyyabnal Husayni wa Muhammadabna 'Aliyyin wa Ja'farabna Muhammadin wa Musabna Ja'farin wa 'Aliyyabna Musa wa Muhammadabna'Aliyyin wa 'Aliyyabna Muhammadin wal Hasanabna 'Aliyyin wal Qa'imal hujjatal Mahdi salawatullahi 'alayhim a'i'mmatul mu'minina wa hujajullahi'alal khalqi ajma'ina wa a'immatuka a'immatu hudan abrar ya….( yahan mayyat ka aur oos ka baap ka naam le ) Aur phir kahen :
“Iza atakal malakanil muqarraabani Rasulayni min 'indillahi tabaraka wa ta'ala wa sa'alaka 'an Rabbika wa 'an Nabiyyika wa 'an dinika wa 'an Kitabika wa 'an Qiblatika wa 'an A'immatika fala takhaf wa la tahzan wa'qul fi jawabi hima, Allahu Rabbi wa Muhammadoon sallal lahu 'alayhi wa Alihi nabiyyi wal Islamu dini wal Qur'anu kitabi wal Ka'batu Qiblati wa Amirul mu'minina 'Aliyybnu Abi Talib imami wal Hasanubnu 'Aliyyi nil Mujtaba imami wal Husaynubnu 'Aliyyi nish-shahidu bi-Karbala imami wa 'Aliyyoon Zaynul 'Abidina imami wa Muhammadu nil Baqiru imami wa Ja'faru nis Sadiqu imami wa Musal Kazimu imami wa 'Aliyyu-nir Riza imami wa Muhammadu nil Jawadu imami wa 'Aliyyu nil Hadi imami wal Hasanul 'askari imami wal Hujjatul moontazar imami ha ula'i salawatullahi 'alayhim ajma'in A'i'mmati wa sadati wa qadati wa shufa-a'i bihim atawalla wa min a'daihim atabarra'u fid doonya wal akhirati thumma i'lam ya…….(yahan mayyat ka aur oos ka baap ka naam le) aur phir kahen :
“Annal laha tabaraka wa ta'ala ni'mar-Rabb wa anna Muhammadan sallal lahu 'alayhi wa Alihi ni'mar Rasul wa anna 'Aliyyabna Abi Talib wa awladahul ma'suminal A'i'mmatal ithna 'asharah ni'mal A'i'mmah wa anna ma ja'a bihi Muhammadoon sallal lahu 'alayhi wa Alihi haqqoon wa annal mawta haqqoon wa suwala moonkarin wa nakirin fil qabri haqqoon wal ba'tha haqqoon wan nushura haqqoon wassarata haqqoon wal mizana haqqoon wa tatayiral kutubi haqqoon wa annal jannata haqqoon wan-nara haqqoon wa annas sa'ata a'tiyatoon la rayba fiha wa annallaha yab'athu man fil qubur. Phir kahe : Afahimta ya ……(yahan mayyat ka aur oos ka baap ka naam le) aur oos ke b’ad kahen : “Thabbatakallahu bil qawlith thabit wa hadakallahu ila saratim mustaqim 'arrafallahu baynaka wa bayna awliya'ika fi mustaqarrim min rahmatih. Then the following wohrds should be uttered: Alla humma jafil arza 'an jambayhi vas'ad biruhihi ilayka wa laqqihi minka burhana Alla humma 'afwaka 'afwaka”.
618. Mustahab hai keh jo shakhs mayyat ko qabr mein utaare woh bataharat, barhaina sar aur burhaina paon ho aur mayyat ki paiti ki taraf se qabr se bahar nikle aur mayyat ke azeez wa aqraba ke a’lawa jo log maujood hon woh haath ki pusht se qabr par mitti daalein aur “Inna Lillahe wa Inna Alaihe Raje’oon” padhen. Agar mayyat aurat ho to oos ka mahram oose qabr mein utaare aur agar mahram na ho to oos ke azeez oose qabr mein utaarein.
619. Mustahab hai keh qabr chaar kono wali banayee jaye aur zameen se taqreeban chaar angul buloond ho aur oos par koi nishaani laga di jaye takeh pehchanne mein ghalti na ho aur qabr par pani chhidka jaye aur pani chhidakne ke b’ad jo log maujood hon woh apne haathh qabr par rakhein aur apni angulian khol kar mitti mein gad kar saath daf’a surah qadr padhein aur mayyat ke liye maghferat talab Karen aur yeh du’a padhein : “Allahumma jafil arza a’n jumbehi wa asi’d ileka rohahu wa laqqehi minka rizwanaw wa askin qabrahu mir rahmateka ma tughnehi behi a’r rehmati min sawaka.”
620. Mustahab hai keh jo log janaze ke massha’et ke liye aaye hon oon ke chale jane ke b’ad mayyat ka wali yaw ah shakhas jise wali ijazat de mayyat ko oon du’aon ki talqeen kare jo batayee gayee hain.
621. Daf’an ke b’ad mustahab hai keh mayyat ke pasemanidgaa ko pursa diya jaye laikin agar itni muddat guzar chuki ho keh pursa dene se oon ka dukh tazaa ho jaye to pursa na dena behtar hai. Yeh bhi mustahab hai keh mayyat ke ahal khana ke liye teen din tak khana bheja jaye. Oon ke paas baithh kar aur oon ke ghar mein khana khana makruh hai.
622. Mustahab hai keh Insaan azeez wa aqraba ki maut par khasusan bete ki maut par sabr kare aur jab bhi mayyat ki yaad aaye “Inna Lillahe wa Inna Alaihe Raje’oon” padhen aur mayyat ke liye Qur’an khawani kare aur ma baap ki qabron par jaakar Allah T’ala se apni hajatein talab kare aur qabr ko pukhta kar de takeh jaldi toot phoot na jaye.
623. Kisi ki maut par bhi Insaan ke liye ehteyaat ki bina par jayez nahin keh apna chehra aur badan zakhmi kare aur apne baal noche laikin sar aur chehre ka peetna jayez nahin.
624. Ehteyaat wajib ki bina par baap aur bhaee ke a’lawa kisi ki maut par bhi girebaan chaak karna jayez nahin aur ehteyaat mustahab yeh hai keh oon ki maut par bhi girebaan chaak na kiya jaye.
625. Agar aurat mayyat ke sog mein apna chehra zakhmi kar ke khoon alood kar le ya baal noche to ehteyaat mustahab ki bina par woh ek ghulaam ko azaad kare ya das faqiron ko khana khilaye ya oonhein kapde pehnaye aur agar mard apni biwi ya furzand ki maut par apna girebaan ya lebaas phade to oos ke liye bhi yahi hukm hai.
Ehteyaat mustahab yeh hai keh mayyat par rote vaqt awaaz bohut buloond na ki jaye.
Comments