1. Panch cheezein majnoob par haraam hain :
1) Apne badan ka koi hissah Qur’aan Majeed ke alfaaz ya Allah Subhaanah T’alaa ke naam se khawaah woh kisi bhi zabaan mein ho mass karna aur behtar yeh hai keh Ambiaa’, aur A’imah aur Hazrat Zahrah Alaihmus salaam ke naamon se bhi apnaa badan mass naa kare.
2) Massjidul haraam aur Massjid Nabwee mein janaa, khawaah ek darwaaze se daakhil ho keh dusre darwaaze se nikal a’ye.
3) Massjidul haraam aur Massjid Nabwee ke a’laawaa dusri massjidon mein thehurnaa, aur Ehteyaat-e-waajib ki bina par A’imah Allaihoos Salaam ke haram mein thehurne ka bhi yahee hukm hai. Laikin agar in massjidon mein se kisi massjid ko ‘aboor kare, maslan ek darwaaze se daakhil ho kar dusre se baahar nikal jaaye to koà harj nahin .
4) Kisi massjid mein koi cheez rakhne ke liye daakhil honaa. Ehteyaat-e-waajib ki bina par yahee hukm massjid se koi cheez uthaane ke liye bhi hai chaahe massjid mein daakhil naa bhi hon.
5) Oon A’yat mein se kisi ek ka padhnaa jin ke padhne se sajdah waajib ho jaataa hai. Woh A’yetein : 1. Surah Sajdah ay-15. 2. Surah Foosallat ay- 38 3. Surah Wal Najam ay- 62 4. Surah Alaq ay- 19 mein hain.
Comments