1. Mayyat ko tarteeb se teen ghusl dene waajib hain. Pahlaa aisaa paani se jis mein beree ke patte mile hu’e hon, dusra aise paani se jis mein kafoor milaa ho aur teesraa khaalis paani se.
2. Zaruri hai keh beree aur kafoor naa is qadar zayadah hon keh paani muzaaf ho jaaye aur naa is qadar kam honk eh yah kahaa jaa sake keh beree aur kafoor is paani mein nahin milaaye gaye hain.
3. Agar beree aur kafoor itnee miqdaar mein naa mil saken jitnee keh zaruri hai to Ehteyaat-e- mustahab ki bina par jitnee miqdaar ma’eer aa’e paani mein daal dee jaaye.
4. Agar koi shakhs ehraam ki haalat mein mar jaaye to Oose kafoor ke paani se ghusl nahin denaa chaahiye balkeh oos ke bajaaye khaalis paani se ghusl denaa chaahiye Laikin agar woh Haj Tamatt’a ka ehraam ho aur woh tawwaaf, namaaze tawwaaf aur sa’ee ko mukkamal kar chuka ho ya Haj Quran ya afraad ke ehraam mein ho aur sar moondaa chuka ho to is do suraton mein oos ko kafoor ke paani se ghusl denaa zaruri hai.
5. Agar beree aur kafoor ya in mein se koi ek naa mil sake ya is ka iste’maal jaayez naa ho maslan yeh keh ghasbee ho to Ehteyaat ki bina par zaruri hai keh Oose ek tayyamum karaya jaaye aur in mein se har oos cheez ke bajaaye jis ka milnaa mumkin naa ho mayyat ko khaalis paani se ghusl diya jaaye.
6. Jo shakhs mayyat ko ghusl de zaruri hai keh woh aqal mand aur musalmaan ho aur Ehteyaat ki bina par zaroori hai keh woh Isnaa Asharee ho. Zaruri hai keh ghusl ke massa’el se bhi waaqif ho. Bachchaa agar ghusl ko sahee tareeqe se anjaam de saktaa ho to oos ka ghusl denaa bhi kafee hai. Chunaanche agar gair Isna Asharee musalmaan ki mayyat ko oos ka hum mazheb apne mazheb ke mutaabiq ghusl de to momin Isna Asharee se zimmedaari saaqit ho jaati hai. Laikin agar woh Isna A’sharee shakhs mayyat ka wali ho to is surat mein oos se zimmedaari saaqit nahin hotee.
7. Jo shakhs ghusl de zaruri hai keh woh qurbat ki niyyat rakhtaa ho aur yeh kafee hai keh Allah Taa’laa ke hukm ki bajaa’awaree ki niyyat se ghusl de.
8. Musalmaan ke bachche ko khawaah walid uz zinaa hee kioon naa ho ghusl denaa waajib hai aur kafir aur oos ki aulaad ka ghusl, kafan aur daf’an waajib nahin hai. Kafir ka bachchaa agar mamayyaz ho aur Islaam ka izhaar kartaa ho to woh musalmaan hai aur jo shakhs bachpan
se deewaanaa ho aur diwaangee ki haalat mein hee baaligh ho jaaye agar oos ka baap ya maa musalmaan ho to zaruri hai keh Oose ghusl dein.
9. Agar ek bachchaa chaar mahine ya oos se zayadah ka ho kar saaqet ho ka’e to Oose ghusl denaa zaruri hai balkeh agar chaar mahine se bhi kam ho Laikin oos ka pooraa badan ban chuka ho to Ehteyaat ki bina par kapde mein lapaitkar baighair ghusl di’e daf’an kar denaa chaahiye.
10. Mard, na mahram aurat ko ghusl nahin de saktaa isi tarah aurat, naa mahram mard ko ghusl nahin de sakti. Laikin biwi apne shauhar ko ghusl de sakti hai aur shauhar bhi apni biwi ko ghusl de saktaa hai.
11. Mard itnee chhotee ladki ko ghusl de saktaa hai jo mamayyaz naa ho aur aurat bhi itne chhote larke ko ghusl de saktaa hai jo mamayyaz naa ho.
12. Mahram afraad ek dusre ko ghusl de sakte hain, chaahe nasbee mahram hon jaise maa aur bahen ya razaa’ee y’ani doodh peene ki wajah se ek dusre ke mahram ban gaye hon. Sharamgaah ke a’lawabaaqee badan mein lebaas ke nichche se ghusl denaa zaruri nahin hai agarche behtar hai. Laikin Ehteyaat-e-waajib ki bina par zaruri hai keh mard apni mahram aurat ko sirf Oosi surat mein ghusl de jab ghusl den eke liye koi aurat naa mil sake. Yahee hukm aurat ke liye mahram mard ko ghusl dene ke baare mein hai.
13. Agar mayyat aur ghassaalah dono mard hon ya dono aurat hon to jayez hai ke sharamghah ke a’aawoh mayyat ka baaqee badan barhenaa ho Laikin behtar yeh hai keh lebaas ke niche se ghusl diya jaaye.
14. Miyan biwi ke a’lawa mayyat ke sharamgaah par nazar daalnaa haraam hai aur jo shakhs Oose ghusl de rahaa ho agar woh oos par nazar daale to goonaahgaar hai Laikin is se ghusl baatil nahin hota.
15. Agar mayyat ke badan ke kisi hisse par a’in najaasat ho to zaruri hai keh oos hisse ko ghusl dene se pshle a’in najaasat door kare aur awwal yeh hai keh ghusl shor’oo karne se pahle mayyat ka tamaam badan paak kar liya jaaye.
16. Ghusl mayyat ghusl janaabat ki tarah hai aur Ehteyaat-e-waajib yeh hai keh jab mayyat ko ghusl tarteebee denaa mumkin ho ghusl irtenaasee naa diya jaaye aur ghusl tarteebee ein bhi zaruri hai keh dahenee taraf ko baa’en taraf se pahle dhoya jaaye.
17. Jo shakhs Ha’ez ya jaanabat ki haalat mein mar jaaye Oose ghusl Ha’ez ya ghusl janaabat denaa zaruree nahin hai balkeh sirf ghusl mayyat oos ke liye kafee hai.
18. Mayyat ko ghusl dene ki ujrat lenaa Ehteyaat ki bina par haraam hai aur agar koi shakhs ujrat lene ke liye mayyat ko is tarah ghusl de keh yeh ghusl denaa qasad qurbat ke moonaafee ho to ghusl baatil hai. Alikin ghusl ke ibtedaa’ee kamon ki ujrat lenaa haraam nahin hai.
19. Mayyat ke ghusl mein jabeerah ghusl jaayez nahin hai aur agar paani mayyasar naa ho ya oos ke iste’maal mein koi rukawat ho to zaroorat hai ke ghusl ke badle mayyat ko ek tayyamum karaa’e aur Ehteyaat-e-mustahab yeh hai keh teen tayyamum karaa’e jaayen.
20. Jo shakhs mayyat ko tayyamum karaa rahaa ho Oose chaahiye keh apne haath zameen par maare aur mayyat ke chehre aur haaton ki pusht par phere aur Ehteyaat-e-mustahab yeh hai keh agar mumkin ho to mayyat ko oos ke apne haaton se bhi tayyamum karaa’e.
Comments