Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Woh Cheezein Jin Par Tayyamum Karna Sahi Hai


654. Mitti, reit, dhele, aur patthar par tayyamum karna sahi hai laikin  ehteyaat-e-mustahab  yehh hai ke agar mitti mayyasar ho to kisi dusri cheez par na kiya jaaye-agar mitti na ho to intihaaee baarik bajri par jise jise mitti kaha jaa sake ,agar yehh bhi mumkin na ho to dhele par agar dhela bhi naho to to phir reit par aur agar reit aur dhela bhi na ho to patthar par tayamum kiya jaaye-
655. Gypsum aur choone ke patthar pe tayyamum karna sahi hai niz is gard-o-gubaar par jo qaleen kapde aur oon jaisi dusri cheezon par jamaa ho jaata hai agar arif-e-aam hai ke oose naram mitti shumaar kiya jaata ho to oos par tayyamum sahi hai –agarche ehteyaat-e-mustahab yehh hai ke ikhteyaar ki haalat mein oos par tayyamum na kare-isi tarah ehteyaat-e-mustahab ki


bina par ikhteyaar ki haalat mein pakke gypsum aur choone aur pakke eent aur dusri ma’dani pattar maslan aqiq waghairah par tayyamum na kare-
656. Agar kisi shakhs ko mitti,pattar,reit ya dhela na mil sake to zaruri hai ke tar mitti par tayyamum kare aur agar tar mitti na mile to zaruri hai ke qaleen ,dari,ya libaas aur oon jaisi dusri cheezon ke andar ya uupar maujood dhaas mukhtasar se gard-o-gooobaar se ji arif mein mitti shumaar na hota ho tayyamum kare aur agra oon mein se koi cheez bhi dasteaab na ho to ehtiya- e-mustahab yehh hai ke tayyamum ke baghair namaz padhe laikin waajib hai ke ba’ad mein oos namaaz ki qaz’a padhe-
657. Agar koi shakhs qaleen,dari ya oon jaisi cheezon ko jhaad kar mitti muhhaiyya kar sakta hai to ooska gard aaood cheezon par tayyamum karna baatil hai aur isi tarah tar mitti ko khusk karke oose sukhi mitti haasil kar sakta ho to tar mitti pe tayyamum karna baatil hai-
658. Jis shakhs ke paas paani na ho aur barf ho aur oose phighla sakta ho to oosse phighlaa kar paani banana aur oosse wuzu ya ghusl karna zaruri hai aur agar aisa karna mumkin na ho aur ooske paas koi aisi cheez bhi na ho ke jis par tayyamum karna sahi ho to oos ke liye zaruri hai ke vaqt guzarne ke ba’ad namaz ko qaz’a kare aur behtar yehh hai ki barf se wuzu ya ghusl ke aaza ko tar kare aur wuzu mein haath ki ratoobat se sar aur pairon ka massah kare aur agar aisa karna bhi mumkin na ho to barf par tayyamum kar le aur vaqt par bhi namaaz padhe albatta dono surton mein qaz’a zaruri hai
659. Agar mitti ya reit ke saath sukhi ghaas ki tarah koi cheez mili hui ho jis par tayyamum karna baatil ho to oos par tayyamum nahi kar sakte-laikin agar woh cheez itni kam ho ke oose mitti ya reit mein na hone ke barabar samjha jaa sake to mitti aur reit par tayyamum sahi hai- 680. Agar ek shakhs ke paas koi aisicheez na ho jis par tayyamum kiya jaa sake aur ooska khareedna ya kisi aur tarah haasil karna mumkin ho to zaruri hai ke oos tarah muhaiyya karle- 681. Mitti ki deewar par tayyamum karna sahi hai aur ehteyaat-e-mustahab yeh hai ke khushk zameen ya khushk mitti ke hote hue tar zameen ya tar mitti par tayamum na kiya jaaye.
682. Jis cheezon par insaan tayyamum kare oon cheezon ka shar’an paaak hona zaruri hai aur ehteyaat-e-waajib ki bina par zaruri hai ke arifan bhi paakiza ho jis par tayyamum karna shi ho to oos par namaaz waji b nahi hai laikin zaruri hai keh ooski qaz’a bajaa laayeh aur behtar yehh hai keh vaqt mein bhi namaz padhe- Haan agar baat gard aalood qaleen tak aa chuki ho aur woh najis ho ehteyaat-e-wajib ki bina par zaruri hai ke oose tayyamum karke namaaz padhe aur phir ba’ad mein ooski qaz’aa bhi kare.
683. Agar kisi shkhs ko yakeen ho k eek cheez par tayymum karna sahi hai aur oospar tayyamum kar le ba’ad-e-azaan oose pata chale ke oos cheez par tayyamum karna baatil tha to zaruri hai ke jo namaaz oos tayyamum ke ssath padhi oose dobara padhe-
684. Jis cheez par koi shakhs tayyamum kare zaruri hai keh woh ghasbi na ho pas agar woh ghasbi mitti par tayamum kare to ooska tayyamum batil hai.
685. Ghasb ki hui faza mein tayyamum karna baatil nahi hai –lehaza agar koi shakhs apni zameen pe apne haath mitti par mare aur phir bila ijazat dusre ki zameem mein dakhil ho jaaye aur haathon ko peshaani par pher le to ooska tayyamum sahi hoga agarche goonaah ka murtakab hoga.
686. Agar koi shakhs bhoole se ya ghaflat mein kisi ghasbi cheez par tayyamum karle to sahi hai laikin agar woh khud koi cheez ghasb kare aur phir bhool jaaye ke ghasb ki hai to oos cheez par tayyamum ke sahi hone ka iskaal hai.
687. Agar koi shakhs ghasbi jagah mein qaid kar diya gaya ho aur oos jagah ki mitti aur paani dono ghasbi hain to zaruri hai ke tayamum karke namaaz padhe-


688. Jis cheez par tayyamum kiya jaaye ehteyaat-e-laazim ke bina par zaruri hai ke oos par kuch gard-o-gubaar maujood ho jo ke haathon par lag jaaye aur oos par haath marne ke ba’ad zaruri hai keh itne zor se haathon ko na jhaade keh saari gard gir jaaye.
689. Ghade wali zameen, raste ki mitti aur aisi shoor zameen par jis par namak ki tah na jami ho tayyamum karna makruh hai aur agar oos par namak ki teh jum gayi ho to tayyamum karna baatil hai.

Comments

Visitor's