Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Daf’an ke Ehkaam


1. Mayyat ko is tarah daf’an karna waajib hai keh oos ki boo baahar nah aaye aur dareende bhi oos ka badan baahar nah nikal saken aur agar is baat ka khauf ho keh dareende oos ka badan baahar nikal leinge to zaruri hai keh qabr ko inton waghairah se pukhtah kar diaa jaaye.
2. Agar mayyat ko zameen mein daf’an karna mumkin nah ho to daf’an karne ke bajaaye Oose kamre ya taaboot mein rakhaa jaa saktaa hai.
3. Mayyat ko qabr mein daa’en pehlu is tarah letaanaa zaruri hai keh oos ke badan ka saamne ka hissaa rubaa qiblah ho.
4. Agar koi shakhs kashti mein mar jaaye aur oos ki mayyat ke kharaab hone ka imkan na ho aur Oose kashti mein rakhne mein bhi koi amr maana’ na ho to zaruri hai keh intezaar Karen taakeh khooski tak pohoonch jaaye aur Oose zameen mein daf’an kar dein warnah Oose kashti mein hi ghusl de kar hunoot karein aur kafan pehnaa’ein aur namaaz mayyat padhne ke b’ad Oose martbaan mein rakh kar ooska moonh boond kar dein aur samoondar mein daal dein ya koi bhaari cheez ooske paa’on mein baandh kar amoondar mein daal dein aur jahan tak mumkin ho Oose aisi jagah giraa’ein jahan jaanwar Oose fauran luqmah naa banaa lein.
5. Agar is baat ka khauf ho keh dasman qabr ko khod kar mayyat ka jism baahar nikaal legaa aur ooske kan ya naak ya dusre a’zaa kaat legaa to agar mumkin ho to zaruri hai keh saabqah mass’ale mein bayan kie gaye tareeqe ke mutaabiq Oose samoondar mein daal diya jaaye.
6. Agar mayyat ko samoondar mein daalnaa ya oos ki qabr ko pukhtaa karna zaruri ho to oos ke akhraajaat mayyat ke asal maal mein se le sakte hain.
7. Agar koi kafir aurat mar jaaye aur oos ke pait mein murdah bachchaa ho aur oos bachche ka baap musalmaan ho to oos aurat ko qabr mein baa’ein pehlu qible ki taraf peethh kar ke letaanaa chaahiye taakeh bachche ka moonh qible ki taraf ho aur agar pait mein maujood bachche ke badan mein abhi jaan naa padhi ho tab bhi Ehteyaat-e-mustahab ki bina par yahi hukm hai.


8. Musalmaan ko kafiron ke qabarstaan mein daf’an karna aur kafir ko musalmaanon ke qabarstaan mein daf’an karna jaayez nahin hai.
9. Musalmaan ko aisi jagah jahaan oos ki behurmati hoti ho, mahsalan jahan kudhaa karkut aur gandagi phainki jaati ho daf’an karna jaayez nahin hai.
10. Mayyat ko ghasbi zameen mein ya aisi jagah zameen mein jo daf’an ke a’lawakisi dusre maqsad, maslan massjid ke liye waqf ho daf’an karna agar waqf ke liye nuqsaandeh ho ya waqf ke maqsad se mazaahmat ka baa’es ho to daf’an karna jaayez nahin hai. Yahi hukm Ehteyaat-e- waajib ki bina par oos vaqt bhi hai jab nuqsaandeh ya mazaahumnaa ho.
11. Kisi mayyat ki qabr ko is liye kholnaa keh oosmein kisi dusre murdeh ko daf’an kiya jaa sake jaayez nahin hai Laikin agar qabr puraani ho gayee ho aur pehli mayyat ka nishaan baaqi naa rahaa ho to dsfan kar sakte hain.
12. Jo cheez mayyat se judaa ho jaaye khawoh ooske baal, naakhoon ya daant hi hon Oose is ke saath hi daf’an kar denaa zaruri hai aur agar judaa hone waali cheezein agarche ooske baal, naakhoon ya daant hi kioon naa hon mayyat ko dafnaane ke b’ad milein to Ehteyaat-e-laazim ki bina par zaruri hai keh oonhein daf’an karna mustahab hai/
13. Agar koi shakhs koonwein mein mar jaaye aur Oose baahar nikalnaa mumkin naa ho to zaruri hai keh koonwein ka moonh boond kar dein aur oos koonwein ko hi ooski qabr qaraar dein. 616. Agar koi bachchaa maan ke apit mein mar jaaye aur oos ka pait mein rahnaa maan ki  zindagi ke liye khatarnaak ho to zaruri hai keh Oose ‘aasaan tareen tareeqe se baahar nikal lein. Chunanche agar Oose tukdhe tukdhe karne par bhi majboor hon to aisaa karne mein koi harj nahin, Laikin zaruri hai keh agar oos aurat ka shauhar ahle fan ho to bachche ko ooske zari’e baahar nikal lein aur agar yeh mumkin naa ho to koi ahle fan aurat Oose baahar nikal le. Aurat  ko yeh ikhteyar hai keh woh is silsile mein kisi aise afraad se rajoo’ kare jo oos kam ko bahtar tareeqe se anjaam de sake aur oos ki haalat ke ikhteyar se zayadah moonaasib ho, chaahe naamahram hi kioon naa ho.
617. Agar maan mar jaaye aur bachchaa oos ke pait mein zaindah ho aur chaahe mukhtasar muddat ke liye hi sahi, oos bachche ke zindah rahne ki umeed ho to zaruri hai keh jo jagah bhi bachche ki salaamati ke liye bahtar hai Oose chaak karein aur bahche ko baahar nikal lein aur phir oos jagah ko taanke lagaa dein. Laikin agar yaqeen ya itminaan ho keh aisaa karne se bachchaa mar jaayegaa to phir jaayez nahin hai.

Comments

Visitor's