Skip to main content
Please recite a Salawaat upon the Prophet (s.a.w.s.) and his holy progeny (a.s.) as a gift for All Marhoom Momineen and Mominaa Please Recite Sura e Fateha Brother Asif Ali Baqri, & Marhoom Mirza Jani Hussain, Marhoom Ali Jaan Khan, Marhooma Zuleqa , Marhoom Murtuza Hussain, Marhoom Salman Azmi Marhoom Khushtar Banu, Marhoom Bakshu Begum, Marhoom Ali Sher, Marhoom Shehzade Hussain, Marhoom Mazhar Hussain, & All Marhoomeen Momineen Wa Mominaath. Khusoos Shohdae Islam, Ulama E Ekraam Zakir E Ahlebaith a.s & Wo Marhoomeen Jinka Koi Isal karne wala nhi hai Namaz E Wehshat Jo Bhi Apne Marhoomeen Ke Naam Namaz E Wehshat E Qabr Ke Liye Likhana Chahte Hain Wo Marhoom name and Father Name +917090193872 Whatsaap Par Bhejden

Ghusl, kafan, namaaz mayyat aur daf’an ka wujub


1. Musalmaan ka ghusl, hoonut, kafan, namaaz mayyat aur daf’an khawaah woh Ishnaa Ashari Shi’a naa bhi ho oos ke wali par waajib hai. Zaruri hai keh wali khud in kamon ko anjaam de ya kisi dusre ko in kamon ke liye mo’een kare aur agar koi shakhs in kamon ko wali ki ijaazat se anjaam de to wali par se wajub saaqet ho jaataa hai balkeh agar daf’an ya is ke manid dusre umoor ko koi shakhs wali ki ijaazat ke baghair anjaam de tab bhi wali se wujoob saaqet ho jaataa hai umoor ko dobaara anjaa dene ki zaroorat nahin aur agar mayyat ka koi wali naa ho ya wali in kamon ko anjaam dene se man’a kare tab bhi baaqi mukkalif logon par waajib kafaa’ee hai keh mayyat ke in kamon ko anjaam dein aur agar baa’z mukkalif logon ne anjaam diya to dasron par se wujoob saaqet ho jaataa hai. Chunaanche agar koi bhi anjaam naa de to tamaam mukkalif log goonaah gaar honge aur wali ke man’a karne ki surat mein is se ijaazat lene ki shart khatam ho jaati hai.
2. Agar koi shakhs tajheez wa takfeen ke kamon mein masshghool ho jaaye to dasron ke liye is baare mein koi aqdaam karna waajib nahin laikin agar woh in kamon ko adhooraa chhor de to zaruri hai keh dusre inhein paa’eah takmeel tak pohoonchaa’en.
3. Agar kisi shakhs ko itminaan ho keh koi dusra mayyat ke kamon mein masshghool hai to oos par waajib nahin hai keh mayyat ke kamon ke baare mein aqdaam kare. Laikin agar Oose is baare mein mahaz shak ya gumaan ho to zaruri hai keh aqdaam kare.
4. Agar kisi shakhs ko m’aloom ho keh mayyat ka ghusl ya kafan ya namaaz ya daf’an ghalat tareeqe se huaa hai to zaruri hai keh in kamon ko dobaarah anjaam de Laikin agar Oose baatil hone ka gumaan ho ya shak ho keh durust thaa ya nahin to phir is baare koi aqdaam karna zaruri nahin.
5. Aurat ka wali oos ka shauhar hai aur aurat ke a’lawa woh ashkhaas keh jin ko mayyat se miraas meeltee hao Oosi tarteeb se jis ka zikr meeraas ke mukhtalif tabqon mein aa’egaa doorson par amqdam hain. Mayyat ka baap mayyat ke bete par, mayyat ka daadaa oos ke bhayee par, mayyat ka pidar wa maadri bhayee oos ke sirf padar bhayee ya maadri bhayee par, oos ka


pidaree bha’ee oos ke maadri bhayee par aur oos ke chochaa ke oos ke maamon par maqqadam hone mein ishkal hai. Chunancheh is silsile mein Ehteyaat ke tamaam taqaazon ko peshe nazar rakhnaa zaruri hai. Han! Agar wali ek se zayadah hon to is mein kisi ek ki ijaazat kafee hai.
6. Nabaaligh bachchah aur deewaanah mayyat ke kamon ko anjaam dene k liye wali nahin ban sakte. Isi tarah woh shakhs bhi jo is tarah ghair haazir ho keh khud ya kisi ko maamoor kar ke mayyat se mut’aliq umoor ko anjaam nah de saktaa ho to woh bhi wali nahin ban saktaa.
7. Agar koi shakhs kahe keh main mayyat ka wali hoon ya mayyat ke wali ne mujhe ijaazat dee hai keh mayyat ke ghusl, kafan aur daf’an ko anjaam doon ya kahe keh main mayyat ke daf’an se mut’aaliq kamon mein mayyat ka wasee hoon aur oos ke kahne se itmeenaan haasil ho j’aae ya mayyat oos ke tassaruf mein ho ya do ‘aadil shakhs gawaahee dein to oos ka qaul  qabool kar lenaa zaruri hai.
8. Agar marne walaa apne ghusl, kafan, daf’an aur namaaz ke liye apne wali ke a’lawakisi aur ko muqarrar kare to oon umoor ki wilayat Oosi shakhs ke haath mein hai aur yeh zaruri nahin keh jis shakhs ko mayyat ne waseeyat ki ho, woh khud in kamon ko anjaam dene ka zimmedaar bane aur is wasiyat ko qabool kare Laikin agar qabool kar le to zaruri hai keh oos par ghusl kare.

Comments

Visitor's