1. Nau cheezein janoob shakhs ke liye makruh hain :
(1-2) Khaanaa aur peenaa.Laikin agar haath moonh dho le aur kulli kar le to makruh nahin hai aur agar sirf haath dho le to bhi karaahat kam ho jaayegee.
(3) Qur’aan Majeedki saath se zayadah aisi A’yat padhnaa jin mein sajdah waajib naa ho.
(4) Apne badan ka koi hissah Qur’aan Majeedki jild, Haasheyah ya alfaaz ki darmayanee jagah se chhoonaa.
(5) Qur’aan Majeedapne saath rakhnaa.
(6) Sonaa. Albattah agar wuzu kar le ya paani naa hone ki wajah se ghusl ke badle tayyamum kar le to phir sonaa makruh nahin hai.
(7) Mehndee ya is se miltee jultee cheez se khezaab karna.
(8) Badan par tail malnaa.
(9) Ihtelaam y’anee sote mein manee khaarij hone ke b’ad jam’a karna.
Comments