Bagair Wuzu Ke Sone Ke Nuqsanat
Rasule Khuda (saww)
Wuzu Momin ka hathyaar hai.
Haraam Nigaah, p68
Imam Sadiq (as)
Wuzu par Wuzu karna Noor par Noor hai.
Wasaail ush Shia, v1, p235
Rasule Khuda (saww)
Mukammal tariqe se Wuzu karo, Allah tumhari umr mein izafa karega.
Hadiyat ush Shia, p27
Imam Ali (as)
Wuzu par Wuzu karne se 10 nekiyaa'n haasil hoti hain. Pus, tum Wuzu karo.
Wasaail ush Shia, v1, p235
Imam Sadiq (as)
Kulli karna aur naak mein paani daalna Rasule Khuda (saww) ki Sunnat hai.
Wasaail ush Shia, v1, p263
Imam Ali (as)
Tahaarat ke baad Wuzu karne se 10 nekiyaa'n milti hain, khud ko paak rakho.
Hadiyat ush Shia, p603
Rasule Khuda (saww)
Jo kisi Musalman ki geebat karta hai uska Wuzu aur Roza baatil ho jaata hai.
Zindagi Akhlaaq Ke Saaye Mein, p104
Rasule Khuda (saww)
Har waqt Wuzu se rehne ki koshish karo, kyun ki Wuzu se umr tulaani hoti hai.
Aasmani Nasihatein, v2, p137
Imam Sadiq (as)
Momin jab tak haalat e Wuzu mein hai, uska shumaar Taaqibaat padhne waalo'n mein hoga.
Man La Yahzarahul Faqih, v1, p359
Imam Sadiq (as)
Jo shakhs Wuzu karte waqt Khuda ka naam zabaan par jaari karega to goya usne Gusl kiya.
Sawaabul Aamaal , p35
Rasule Khuda (saww)
Khana khaane se pehle aur baad mein Wuzu karne se gareebi duur hoti hai. (Wasaail, v1, p256)
The Prayer
Rasule Khuda (saww)
Jo shakhs Wuzu kar ke sota hai, agar oos raat uski maut aa jaaye to shaheed ki maut marta hai.
Aasmani Nasihatein, v2, p137
Rasule Khuda (saww)
Wuzu karte waqt aa'nkhein khuli rakkha karo, shaayad ke tum iski barkat se Dozakh ki aag ko na dekho.
Wasaail ush Shia, v1, p294
Rasule Khuda (saww)
Jis apni bhalaayi aur khair ki zyadati darkaar (zarurat) hoti hai to wo khaana khaane se pehle Wuzu kar liya kare.
Adaab e Islami, v2, p197
Allah (swt)
Kitna khush-naseeb hai wo shakhs jo ghar se ba-wuzu ho kar aaye aur phir Mere ghar (Masjid) mein Meri Ziyarat kare.
Kirdaar Saazi, v2, p22
Imam Sadiq (as)
Jo shakhs ba-Wuzu ho kar bistar par jaaye to raat ko jitni der tak soye uska bistar Masjid ki tarah Ibadat-gaah hoga.
Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal, p41
Imam Sadiq (as)
Jo shakhs Namaz ke alaawa bhi baar baar Wuzu karta hai to Allah Ta'ala Astagfaar ke bagair hi uske gunah maaf kar deta hai.
Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal
Imam Sadiq (as)
Jo shakhs Wuzu karke Towel se pochhega to usay Ek Neki ka Sawaab milega, aur jo Nahi pochhega to usay 30 Neki ka Sawaab milega.
Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal
Comments